Darbaar Me Jab Katke Yatimoun Ke Sar Aae Marsiya Writeup, Lyrics
Darbaar Me Jab Katke Yatimoun Ke Sar Aae
Doobe Huwe Do Chand Lahu Me Nazar Aae
Ghul Padgaya Muslim Ke Ye Laqhte Jigar Aae
Ghurbath Zada-O- Be Watan-O- Be Piar Aae
Shamsheer-E- Sitam Chal Gayi In Nowhagaroun Par
Kya Bekasi-O- Yaas Barasti Hai Saroun Par
Haakim Se Ye Tab Kehne Laga Haaris-E- Bad Kaam
Sar Bachown Ke Laaya Hoon Mile Qillat-O- Inaam
Pahchaan Le Muslim Ke Pisar Hain Yahi Gulfaam
Ye Wo Hain Jo Zindaan Se Bhaage The Sar-E- Shaam
Main Dhoondtha Phirta Tha Na Haath Aate The Dono
Paat Ethe Jidhar Raah Nikal Jaathe The Dono
Haakim Ne Kaha Tune Kahan Phir Inhain Paaya
Taarikiye Shab Me Nazar Aata Nahin Saaya
Wo Joud Ke Haathoun Ko Suqan Lab Pa Ye Laaya
Zowja Ne Meri Tha Unhen Hujre Me Chupaya
Main Kahta Tha Dil Me Ke Kahan Jaake Chupe Hain
Iski Na Khabar Thi Mere Ghar Aake Chupe Hain
Az Bas Ke Thaka Tha, Mujhe Neend Aagayi Usdam
Kya Dekhta Hoon Aalam-E-Rooya Me Basad Gham
Ek Hujre Me Do Tifi Nazar Aate Hain Baaham
Sar Peet Ke Kahte Hain Wo Baa Didae Purnam
Aafat Me Phanse Ham Dar-E- Zindaan Se Nikal Ke
Maloom Huwa Padgaye Phande Me Ajal Ke
Chilla Jo Wo Haae Pidar Kahke Dilafgaar
Tha Need Me Ya Aankh Meri Khul Gayi Ekbaar
Khush Hogaya Main Tala-E- Qafath Huwe Bedaar
Bistar Se Utha Haath Me Khenche Huwe Talwaar
Ek Hujre Me Muslim Ke Wo Pyare Nazar Aae
Balaae Zamin Arsh Ke Taare Nazar Aae
Jakda Jo Unje Main Ne To Karte The Ye Faryaad
Mehmaan Tere Ghar Me Hain Ham Bekar-O- Nashad
Bin Baap Ke Hain Ham Pa Taras Kha Sitaam Eijaad
Le Minnaten Karte Hain Teri Chodhde Jallad
Kar Rahem Ke Masoom Hain Dukh Paaye Hain Zaalim
Ham Chupne Ko Daaman Me Tere Aaye Hain Zaalim
Main Ne Kaha Tum Dono Ke Baba Ka Hai Kya Naam
Ro Kar Kaha Kahte Hain Unhen Muslim-E- Nakaam
Be Jurm-O- Qataa Unke Gale Par Chali Samsaam
Ham Jab Se Chute Baap Se Hamko Nahi Aaram
Dahshat Se Teri Seene Me Dil Hilte Hain Zaalim
Ab Dheeli Rasan Kar Ke Gale Chilte Hain Zaalim
Ye Sunte Hi Masoomoun Pa Ghussa Mujhe Aaya
Hujre Se Unhen Khenchte Dailaan Me Laaya
Un Dono Ne Jo Zulm Na Dekha Tha Dikhaya
Mujrim Ki Tarha Baandh Diya Raham Na Dikhaya
Baahar Unhen Le Aaya Jo Zulfoun Ko Pakad Kar
Istaada Kiya Chod Se Rassi Me Jakad Kar
Samjha Na Wo Hargis Na Mere Dhyaan Me Laai
Junjla Ke Use Teghe Sitam Main Ne Lagaai
Ek Waar Me Saa- Id Se Giri Kat Ke Kalaai
Chilla Ke Lagi Dene Payambar Ki Duhaai
Hae Hae Mere Aagha Meri Imdad Ko Pahoncho
Aye Shah-E- Gharibaan Meri Faryaad Ko Pahoncho
Jab Maar Chuka Usko To Masoomoun Ko Khaincha
Pakde Huwe Zulfen Unhen Laya Labe Darya
Rokar Kaha Bachown Ne Hame Khatal Na Karna
Maareega Jo Hamko Tere Kya Haath Lagega
Bekas Hain Musafir Hain Aur Aawaraa Watan Hain
Ye Kya Hai Saza Kam Ke Giraftaare Mehan Hain
Kar -Rahem Sitamgaar Gharibi Pa Hamaari
Dewega Sila Iska Tujhe Qaaleq-E- Baari
Le Aankh Na Dikhla Nahi Ab Karne Ko Zaari
Chal Kar Sar-E- Baazar Hame Bechle Naari
Bach Jaaenge Ham Qillat-O- Zar Paaega Zalim
Gar Khati Kiya Hamko To Pachtaega Zalim
Ye Sunke Badha Main Junhi Khenche Huwe Talwar
Pahlu Me Baradar Ke Baradar Gira Ekbaar
Main Chaati Pa Ek Tifi Ki Aaqir Huwa Sawaar
Jab Halq Pa Bacche Ke Rakha Qanjar-E- Khoonkhaar
Ek Hashrbapaa Hogaya Qanjar Ke Chile Par
Bhai Ne Gala Rakh Diya Bhai Ke Gale Par