Chahlum Jo Karbala Me Bahattar Ka Ho Chuka

Chahlum Jo Karbala Me Bahattar Ka Ho Chuka Marsiya Writeup, Lyrics

Chahlum Jo Karbala Me Bahattar Ka Ho Chuka
Palwand Baikasounke Tan-O- Sar Ka Ho Chuka
Aur Faateha Hussain Ke Lashkar Ka Ho Chuka
Qabroun Pa Shour Aal-E- Payambar Ka Ho Chuka
        Maatam Me Teen Roz Rahe Shour-O- Shain Se
        Roe Lipat Lipat Ke Mazaare-E-E Hussain Se

Misle Charaagh Gour-E- Gharibaan Pa Dil Jalaae
Phooloun Ke Saath Qabroun Pe Laqt-E- Jigar Chadhaae
Pyaaroun Ki Burd-O- Baash Ke Saaman Jo Yaad Aaye
Be Saaqtha Pukaari Kaleja Pakad Ke Haae
        Hae Hae Wo Parda Daar Hamaare Kidhar Gaye
        Be Parda Hoke Aale Nabi Dar Badar Gaye

Maqtal Ke Aas Paas Ye Bewoun Ki Thi Fughaan
Zainab Jabeen Lahad Pa Dhare Karthi Thi Bayaan
Aye Mere Karbalaai Baradar Hussain Jaan
Hamsheer Teen Din Se Tumhaari Hai Mehmaan
        Allah Meri Baat Bhi Poochi Na Aap Ne
        Zindaan Ki Waaredaat Bhi Poochi Na Aap Ne

Raazinhoon Hoon Jorazaa-E- Imaam-E- Jaleel Hai
Par Qaabil-E- Mulaaheza Baazu Ka Neel Hai
Ne Koi Daad Rasan Na Koi Kafeel Hai
Bhaai Baqair Aap Ki Zainab Zaleel Hai
        Pusht-O- Panaah Uth Gaya Be Qaanamaan Huwi
        Dekho Ye Pusht Qaabil-E- Noke Sinaan Huwi

Marjaaen Sab Yatimoun Ke Sar Par Rahoon Jo Mai
Bachpan Me Unki Qald Ki Eizaa Sahoon To Mai
Bahlaane Ko Tumhaari Kahaani Kahoon To Mai
Maa Hoon To Mai Phupi Hoon To Mai Baap Hoon To Mai
        Inka Bhi Daagh Aaj Mile Yake Kal Mile
        Aise Nai Naseeb Ke Qidmath Ka Phal Mile

Main Jaanthi Thi Shahr Basa Hoga Bhaai Ka
Hoga Hhujoom Qabr Pa Saari Qudaai Ka
Chahlum Karoongi Dhoom Se Mai Karbalaai Ka
Pursaan Bh Yaa Nahi Koi Zenra Ki Jaai Ka
        Mu Dhaanpne Ko Aap Hi Palla Bhi Leti Hoon
        Aur Apne Dil Ko Aap I Pursa Bhi Deti Hoon

Chehlum Tho Kar Chuki Mai Dilafgaar Yaa Hussain
Ab Rouza Kis Tarha Se Ho Tayyar Yaa Hussain
Beta Bhi Aur Bahan Bhi Hai Naadar Yaa Hussain
Aaqer Kabhi Tho Aaenge Zawwar Yaa Hussain
        Takya Hai Kaar Saziye Parwardigaar Par
        Isdam Tho Saaebaan Bhi Nahi Hai Mazaar Par

Hone Laga Sawaar Rasaala Basheer Ka
Danka Bajaa Haram Ke Waidaa-E- Aqeer Ka
Qaima Uthaa Lahed Se Shah-E- Mashraqain Ka
Aur Sab Tabarrukaath Jaab-E- Ameer Ka
        Turbath Ke Gird Oont Barabar Kahde Huwe
        Ruqsath Ko Jama Qabr Pa Chowte Bade Huwe

Zainab Pukaari Kooch Ka Saamaan Hogaya
Phir Shahr Mere Bhaai Ka Veeraan Hogaya
Aur Maqberaa Hussain Ka Sunsaan Hogaya
Hoo Ka Maqaam Qatl Ka Maidaan Hogaya
        Aai Musaafiroun Ko Mere Wo Zameen Pasand
        Dunya Me Jis Zameen Ko Basthi Nahin Pasand

Aye Karbalaa-E- Sarwar-E- Dilgeer Alweda
Aye Qatlgaah-E- Hazrath-E- Shabbir Alweda
Aye Qabr-E- Ibn-E- Saaheb-E- Tath-Heer Alweda
Aye Bhaai Jaan Jaathi Hai Hamsheer Alweda
        Kya Be Naseeb Hai Ye Nawaasi Rasool Ki
        Tum Ne Mujaaweri Na Hamaari Qubool Ki

Bhayya Utho Kajaawe Me Mujh Ko Tumhi Bithaao
Bhayya Main Be Naqaab Hoon Rahgiroun Ko Hataao
Rowkkahin Qinath Akbar-O- Abbas Ko Bulaao
Qaali Hai Goud Bhaabhi Ki Asghar Ko Lete Aao
        Sardaar Saare Qaafele Ke Aage Hote Hain
        Tayyar Kaarwaan Huwa Aur Aap Sote Hain

Kab Se Tumhain Pukaar Rahi Hoon Mai Qastha Jaan
Hae Hae Jawaab Bhi Nahi Dete Shah-E- Zaman
Bhayya Gale Lagaaloon Tho Jaaun Soe Watan
Aal Nida Sidhaaro Quda Haafiz Aye Bahan
        Soghra Ko Meri Simth Se Bhi Pyaar Kihiye
        Hoga Sawaab Qaatir-E- Beemaar Kijiye