Bechain Dil Tha Hazrat E Baqar Ki Yaad Me Marsiya Writeup, Lyrics
Bechain Dil Tha Hazrat E Baqar Ki Yaad Me
Saamaane Gham Tha Farq-E Paak-E Etaqaad Me
Tha Jashn-E Eid Qaana-E Ahle Inaad Me
Goya Bahaar Aai Thi Baagh-E Muraad Me
Qush The Ke Barwar-E Shajar-E Mudduaa Huwa
Ek Taaza Gul Ali Ke Chaman Se Judaa Huwa
Din Raath Ahle Shar Isi Tadbeer Me The Aah
Qairul Bashar Ka Naam Mitaa Dey Wo Rusiyaah
Par Qalq Reh Na Sakthi Thi Be Hujjath-E Ilaah
Baqsha Quda Ne Jaafar-E Saadiq Ko Izz-O Jaah
Jo Har Kushaa-E Taqt-E Karaamath Huwe Huzoor
Rounaq Fizaa-E Taqt-E Imaamath Huwe Huzoor
Qurbaan Malak They Jaffar-E Sadiq Ki Shaan Par
Haafiz Fida They Mushaf-E Naatiq Ki Shaan Par
Maula Toh Jaan Detay They Khaaliq Ki Shaan Par
Maashooq Ko Bhi Naaz Tha Aashiqh Ki Shaan Par
Qaail Zubaan Har Ek Munafiq Ki Hogayi
Aalam Mey Dhoom Ulfat-E Sadiq Ki Hogayi
Raazi Qazaa Pey Tha Woh Jigar Band-E Murtuza
Karta Hai Ek Shaks Yeh Wasfey Shahey Huda
Beemaar Koyi Aapka Tha Tifl Mehlaqaa
Daulat Saraa Pey Uski Ayaadat Ko My Gaya
Hazrat Khadey Huvey They Jhuka My Salaam Ko
Paaya Magar Udaas Imam-E Anaam Ko
Andar Gaye Huzoor My Tehraa Raha Wahin
Dekha Yeh Wapasi Mey Kay Gham Ka Asar Nahin
My Ne Kaha Kay Shaad Rakhey Rab-Ul Alameen
Shehzaada Khairiyat Sey Hai Aye Baadshahey Deen
Farmaaya Woh Mareez Jahaan Sey Guzar Gaya
Ladkay Ka Haal Dekh Kay Aaya Hoon Margayaa
Poocha Kay Pehley Ranj Tha Ab Kyun Nahin Malaal
Boley Hum Ahleybait-E Nabi Ka Yahi Hai Haal
Gham Ka Dum-E Nuzool Bhalaa Kartey Hain Khayaal
Naazil Woh Hogayi Toh Kiya Shukr-E Zuljalaal
Tasleem Kis Tarha Na Raza Kibriya Ki Ho
Bandey Ka Dakhl Kya Jo Mashiya Khuda Ki Ho
Maasoom Ki Qazaa-E Ilaahi Pe Thi Nazar
Kyun Ke Na Ho Hussain Se Saaber Ke Thi Jigar
Hai Aashkaar Himmath-E Shabbir Naamwar
Pardes Me Lutaadiya Aabaad Apna Ghar
Raah-E Quda Me Dil Ko Sambhaala Imaam Ne
Aulaad Zibha Hogayi Aankhoun Ke Saamne
Baqar Kay Laqtey Dil Ko Na Aya Kabhi Ghazab
Taabay Khuda Kay Hukm Ka Tha Sarwar-E Arab
Karta Tha Sabr Naasir-E Deen-E Habib-E Rab
Deta Tha Sadmey Aapko Mansoor-E Bey Adab
Firoun –E Asr Phir Gaya Fakhrey Kaleem Sey
Keena Tha Sang Saqht Ko Durr-E Yateem Sey
Rehthi Thi Usko Shaam-O Saher Fikr-E Qatal-E Shaah
Jaltha Tha Aaftaab-E Imaamath Se Rusiyaah
Thi Aarzu Ke Qaana-E Hyder Ho Phir Tabaah
Hon Be Imaam Qaadim-E Sultaane Deen Panaah
Saadaath Mubtelaa-E Balaa-E Azeem Ho
Jaffar Ho Qatl Moosi-E Kaazim Yateem Ho
Zaalim Ko Bey Gunaah Sey Manzoor Thi Daghaa
Makkaar Ney Iraq Mey Aakhir Talab Kiya
Karta Raha Iraada-E Qatl-E Shahey Huda
Aijaz Taaza Dekh Kay Kar Deyta Thaa Rehaa
Tegh-E Sitam Nikalta Tha Jab Niyam Sey
Chal Sakta Tha Na Zor Dua-E Imam Sey
Sadh Half Sang Dil Ko Na Kuch Iska Tha Khayaal
Mehmaan Maraa Hai Gulshan-E Baquar Ka Nounehaal
Mansoor Ka Bhi Tark-E Wafaa Me Wohi Tha Haal
Jaise Yazeed-O Ibn-E Ziyaad-E Zaboon Qhisaal
Kis Tarha Zaalimoun Ne Sataaya Hussain Ko
Loota Bula Ke Ghar Se Shah-E Mashraqain Ko
Haq Ke Wali Ka Dushman-E Jaani Tha Rusiyaah
Sab Aafathoun Se Bachke Watan Me Jab Aaye Shaah
Wo Zulm Hogaya Ke Madina Huwa Tabaah
Angoor Me Imaam Ko Dilwaaya Zaher Aah
Sarwar-E Riyaaz-E Deen Ka Ajab Haal Hogaya
Sar Sabz Baagh-E Deen Ka Paamaal Hogaya
Paathe The Jis Se Rizq Masaakeen-O Be Nawaa
Us Ghar Me Khaak Udne Lagi Waa Musibathaa
Milkar Pidar Se Moosiye Kaazimne Ki Bukaa
Hazrath Ne Waqthe Naza Jo Unko Wasi Kiyaa
Hontoun Pe Dam Tha Mout Thi Aankhoun Ke Saamne
Bulwaaya Sab Azizoun Ko Usdam Imaam Ne
Naagaah Band Hogayi Aawaaz Dard Naak
Pahonchi Jawaar-E Rahmath-E Qaaleq Me Rooh-E Paak
Taigh-E Alam Se Dil Huwe Baitoun Ke Chaak Chaak
Tar Hogaya Yatimoun Ke Ashkoun Se Farsh-E Khaak
Fikar Kafan Wasi-E Shah-E Ins-O Jan Ne Ki
Tadbeer-E Ghusl-E Shaah Imam-E Zaman Ne Ki