Bano Se Dam Badam Ye Sakina Ka Tha Bayaan

Bano Se Dam Badam Ye Sakina Ka Tha Bayaan Marsiya Writeup, Lyrics

Bano Se Dam Badam Ye Sakina Ka Tha Bayaan
Kaisa Makaan Hai Ke Hawaa Tak Nahi Jahaan
Dekhoongi Kis Tarha Se Bhala Shakl-E Aasmaan
Hae Hae Zameen Tak Nazar Aati Nahi Yahaan
        Amma Sabhoun Ki Jaan Quda Hi Bachaaega
        Shab Ko Bhi Kya Charaagh Jalaya Na Jaaega

Aisi Hi Teeragi Hai Toh Bas Ho Chuki Hayaath
Mai Jaanti Hoon Aaj Ki Shab Ko Shab-E Wafaath
Sote The Leke Seene Pa Baba Tamaam Raat
Aadat Meri Bigaad Gaye Shaah-E Qush Sifaath
        Jab Shamaa Gul Huwi Hai To Ghabraake Roye Hoon
        Amma Bhala Kabhi Mai Andhere Me Soye Hoon

Maa Beti Me Yahaan Thi Gham Angaiz Daastaan
Aaye Paher Ke Bajne Ki Aawaaz Naagahaan
Hushyaar Bhaaiyo Ye Pukaare Nigaahbaan
Bhaage Aseer To Na Bachegi Kisi Ki Jaan
        Tadpe Dil Aur Habz Jo Deh Chand Hogaya
        Zindaan Ka Dar Lahad Ki Tarha Band Hogaya

Chillayi Jald Utt Kay Sakina Ghazab Huva
Maa Ney Galey Lagaakay Kahaa Shukr Ki Hai Jaa
Qurbaan Jaaoon Dil Ko Sambhaalo Payeh Khuda
Dekho Guzar Gayee Hai Paher Raat Mey Fidaa
        Ab Toh Bani Huvi Hai Khuda Par Nazar Karo
        Taa Subhaa Jis Tarhaa Sey Ho Beti Basar Karo

Tadbeeren Maa Ne Ki Paye Taskeen Ajab Ajab
Us Raat Ki Tarha Sey Badha Dam-Ba Dam Ta Aab
Rone Me Katgayi Jo Sakina Ko Nisf Shab
Naachaar Hoke Godh Me Leti Wo Qush Laqab
        Susthi Kamaal Qaatir-E Naazuk Pa Chaagayi
        Baaten Jo Maa Ne Ki To Zaraa Neend Aagayi

Soi Thi Koi Dam Ke Bandha Aansuoun Ka Taar
Dekha Ye Qhwaab Aaye Hain Sultaan-E Naamdaar
Phailaaye Haath Dhoondthi Utthi Wo Dilfigaar
Jhuk Jhuk Ke Dekhthi Thi Harek Simth Baar Baar
        Kahti Thi Hae Ghazab Ka Andhera Ziyaa Nahi
        Baba Kidhar Khade Hain Mujhe Soojhtha Nahi

They Sab Haram Yateem Ki Baatoun Pay Nouhagar
Rote The Paasbaan Bhi Mu Dhaanp Dhaanp Kar
Naagah Gayi Yazeed Ko Is Haal Ki Qabar
Machli Huwi Hai Duqtar-E Sultan-E Behrobar
        Faryaad Kar Rahi Hai Ajab Izteraar Hai
        Baba Ko Dekhne Keliye Beqaraar Hai

Lejaao Farq-E Shaah Ye Bola Siyaah Rooh
Lear Sar-E Hussain Rawaana Huwe Adoo
Thi Raah Me Chamak Sar-E Anwar Ki Chaar Soo
Zindaan Ke Paas Jaake Jo Di Gesuoun Ney Boo
        Saidaaniyoun Me Hashr Huwa Saff Ulatt Gayi
        Zindaan Ke Dar Se Aake Sakina Lipat Gayi

Khush Khush Khadi Huwi Thi Sakina Lagaae Aas
Itne Me Waan Huwa Jo Dar Aai Guloun Ki Baas
Phaili Ziyaa-E Husn-E Shahinshaah-E Haq Shinaas
Roushan Huwa Makaan Jo Muddat Se Tha Udaas
        Doudey Haram Hussain Ki Tasleem Ke Liye
        Sajjad Uth Khade Huwe Taazeem Ke Liye

Baithi Zameen Pa Leke Sakina Sar-E Imaam
Mu Rakh Ke Mu Pa Qoob Kiya Unse Kalaam
Ghash Aagaya Ke Laayi Qazaa Mauth Ka Payaam
Lipti Sar-E Pidar Se Khinchi Sab Ragain Tamaam
        Tha Mu Pe Mu Ke Zeest Ka Naqshaa Badal Gaya
        Hichki Bas Aik Aai Wahin Dam Nikal Gaya

Kurta Uthaa Ke Seene Ko Deney Lagi Hawa
Zainab Se Ki Ye Arz Ke Padhiye Koi Duaa
Sajjad Se Kahaa Ke Idhar Aao Mai Fidaa
Beta Bahen Ki Nabz To Dekho Marz Hae Kya
        Chounka Rahe Hain Sab Qabr-E Dasto Paa Nahi
        Ghash Me Kabhi Ye Haal Kisi Ka Sunaa Nahi

Dekhi Jo Nabz Rone Lage Aabid-E Hazeen
Maa Ne Kaha Tadap Ke Mujhe Taab Ab Nahi
Jo Haal Hai Quda Ke Liye Kah Chuko Kaheen
Sajjad Sar Jhuka Ke Ye Bole Ke Margayeen
        Takleef Dijiye Na Tan-E Paash Paash Ko
        Jaldi Litaaiye Ke Aziyaat Hai Laash Ko

Sadqe Gayi Huwa Is Andhere Me Inteqaal
Beti Ye Daagh Dil Se Na Jaaega Maah Woh Saal
Fizza Ne Paasbaanou Se Jaakar Kiya Sawaal
Dedo Koi Charaagh To Ahsaan Hai Kamaal
        Ho Roushni Ye Rasm Hai Saare Jahaan Me
        Mayyath Padi Huwi Hai Andhere Makaan Me