Bano Pichle Pahar Asghar Ke Liye Roti Hai

Bano Pichle Pahar Asghar Ke Liye Roti Hai Marsiya Writeup, Lyrics

Bano Pichle Pahar Asghar Ke Liye Roti Hai
Aik Wo Jaagthi Hai Qhalq-E- Qhuda Soti Hai
Sar Ko Bhi Peet- Thi Hai Jaan Ko Bhi Khoti Hai
Ye Ajab Gham Hae Ke Taskeen Nahi Hoti Hai
        Peet- The Peet- The Behosh Jo Hojaati Hai
        Ali Asghar Ali Asghar Ki Sadaa Aati Hai

Kabhi Koney Me Wo Mu Dhaamp Ke Chillati Hai
Aur Kabhi Sahen Me Ghabraake Nikal Aati Hai
Kookh Pakdey Huwe Har Aik Taraf Jaati Hai
Dhoondthi Hai Magar Asghar Ko Nahi Paati Hai
        Tan Ko Larzish Hai Juda Aur Hai Mu Zard-E Juda
        Dil Tadaptha Hai Juda Sine Me Hai Dard-E Juda

Kabhi Kahthi Hai Ke Ghar Me Mere Andhiyaara Hai
Ali Asghar Ki Judaai Ne Mujhe Maara Hai
Haae Main Ghar Me Hoon Jungle Me Mera Pyaara Hai
Meherbaani Jo Kare Mouth To Chuttkara Hai
        Kab Talak Raatoun Ko Ham Nala-O Faryaad Karain
        Ya Ilaahi Ali Asghar Mujhe Ab Yaad Karain

Goudh Pehlaake Kabhi Kahti Hai Dilbar Aaja
Rooh Be-Chain Hai Aaja Ali Asghar Aaja
Dil Tadaptha Hai Mera Goudh Ke Andar Aaja
Fatema Keliye Aaja Paye’h Hyder Aaja
        Boond Paani Keliye Haae Teri Jaan Gayi
        Aa Main Sadqe Gayi Waari Gayi Qurbaan Gayi

Aake Seene Se Mere Seena Lagado Beta
Aag Bhadki Hai Kaleje Me Bujhaado Beta
Qushk Mu Apna Mere Mu Se Mila Do Beta
Ek Nazar Chand Si Tasveer Dikhado Beta
        Jaao Phir Qhuld Me Maa Tumko Na Behlaaegi
        Aik Dam Se Na Ziyadah Tumhen Tahraaegi

Loriyaan Hum Tumhen Aye Laal Diya Karte The
Aap Lete Huwe Jhule Me Hassa Karte The
Ghutniyoun Ghutniyoun Gar Aap Chala Karte The
Kurta Pakde Huwe Ham Saath Raha Karte The
        Haae Maa Baap Se Qismath Ne Chudhaya Tumko
        Soone Jangal Me Meri Jaan Sulaya Tumko

Yaad Har Cheez Teri Aathi Hai Aye Naik Qhisaal
Meri Nazroun Ke Tale Phirti Hae Wo Teri Chaal
Juti Juti Wo Bhawain Aur Jhandole Wo Baal
Choti Choti Wo Teri Ungliyaan Aye Mere Laal
        Bu-Ye Gul Aathi Thi Beta Tere Pairaahan Me
        Qhoob Khilti Thi Ali Band Teri Gardan Me

Qhalq Sab Soti Hai Raatoun Ko Gharoun Me Apne
Ham Agar Letey Hain Karwat To Qasam Lo Hamse
Neend Aati Mere Pahlu Me Agar Tum Hote
Tum To Aye Laqte Jigar Goudh Me Marqhad Ke Gaye
        Yaad Is Paalne Waali Ki Bhulaai Tumne
        Paayenthi Baap Ki Aye Laal Basaai Tumne

Haae Asghar Na Tera Daen Huwa Maa Se Adaa
Bojh Koi Meri Gardan Se Na Utraa Tera
Naa Teri Saalgiraah Ki, Na Tera Doodh Baddha
Naa Lahad Tujh Ko Mili Aur Na Kafan Tujh Ko Mila
        Tum To Maare Gaye Chaati Pa Litaaun Kisko
        Chote Chote Ye Shalooke Main Pahanaoo Kisko

Bain Karti Thi Yahi Peet Ke Bano Dukhya
Aage Istarha Se Hai Raavi-E Purnam Ne Likha
Aai Ek Simt Se Waan Peetne Rone Ki Sadaa
Har Taraf Bano-E- Bekas Ne Ba Hasrat Dekha
        Roke Kahne Lagi Maaloom Nahi Hota Hai
        Koi Baitha Huwa Hamraah Mere Rota Hai

Koun Hae Meri Tarha Dukh Me Phasa Aye Daawar
Koun Bekas Hai Meri Tarha Se Rota Aakar
Ye Wo Kahti Thi Ke Ye Aai Sadaa Us Jaa Par
Aye Bahu Qhuld Se Aaya Hae Yahaan Paighambar
        Tere Rone Ne Aziyyath Mujhe Pahonchai Hai
        Qhabr Se Aah Teri Mujh Ko Utthaa Laai Hai

Ghash Me Bano Ne Jo Ye Fatema Zehra Se Suna
Haath Phaila Diye Aur Godme Asghar Ko Liya
Mu Se Mu Uske Mala Aur Laboun Ko Chooma
Qhoob Lipta Ke Kaleje Se Ye Roro Ke Kaha
        Thi Judaai Ne Teri, Aag Lagaai Beta
        Tum Ne Wo Aag Mere Dil Ki Bujhaai Beta