Bano Ki Sada Thi Ke Na Tadpao Sakina

Bano Ki Sada Thi Ke Na Tadpao Sakina Salaam Writeup, Lyrics

aajao ab aajao ab aajao sakina
bano ki sada thi ke na tadpao sakina

ab mujhse judaai ka alam uth na sakega
yun rooth ke madar se na tum jaao sakina
aajao ab aajao….

phir pyar se maa kehke pukaro meri dilbar
amma ko na is tarha se tadpao sakina
aajao ab aajao….

asghar ki judaai ali akbar ki judaai
kaafi hai na ab tum mujhe rulwao sakina
aajao ab aajao….

kya mujhse khata hogayi kyon rooth gayi ho
is ghamzada madar ko ye batlao sakina
aajao ab aajao….

ye sach hai bahot qaid may dukh tumne uthaye
so baap aagosh may sojao sakina
aajao ab aajao….

kaano se lahoo behta hai rukhsaar hai neele
ye shakl na abbas ko dikhlao sakina
aajao ab aajao….

lipta ke kaleje se duayein meri kehna
ek nanhi si mayyat jo kahin pao sakina
aajao ab aajao….