Bano Ki Aaj Kis Liye Sunsaan Goud Hai Marsiya Writeup, Lyrics
Bano Ki Aaj Kis Liye Sunsaan Goud Hai
Bachchi Ko Kya Huva Aray Veeraan Godh Hai
Maa Sar Jhukaaye Baithee Hai Veeraan Godh Hai
Baali Sakina Margayi Sunsaan Godh Hai
Naazou Sey Jo Pali Thi Shahey Mashraqain Ki
Mitti May Aaj Milthi Hai Bachchi Hussain Ki
Bano Kay Bayn Hain Meri Godh Ujad Gayee
Baaqi Thi Sheh Ki Ek Nishaani Kidhar Gayee
Ya Rab Mai Kya Karoon Meri Bachchi Bichadd Gayee
Amma Ko Rothi Chodd Kay Beti Kidhar Gayee
Aawaaz Ek Baar Toh Maa Ko Sunaao Tum
Bano Jiye Toh Kaise Jiye Yeh Bathaao Tum
Hai Hai Jawaan Betay Ka Sehra Na Dekhi Mai
Asghar Ko Haaye Ghuttniyo Chaltaa Na Dekhi Mai
Armaan Koyi Apna Nikaltaa Na Dekhi Mai
Terey Bhi Koyi Kaaj-Ko Hota Na Dekhi Mai
Waaris Ka Saaya Utt Gaya Betou Ko Khoyi Hoon
Baaqi Jo Ek Bachchi Thi Aaj Uspaa Rothi Hoon
Thi Aarzoo My Tumko Parwaan Chadhaaoongi
Dulhan Banaakay Dhoom Sey Shaadi Rachaaoongi
Dil Kay Tamaam Apney My Armaan Nikaaloongi
Yeh Kya Khabar Thi Khaak Me Tujhko Milaaoongi
Mai Badhnaseeb Reh Gayee Ronay Kay Waasthey
Tum Jaa Rahi Ho Qabr Mey Sonay Kay Waasthey
Sajjab Bolay Sabr Karo Tum Par My Fida
Maiyath Utthaaney Jhuk Gaya Beemar Bey Dawaa
Mooh Rakh Kay Mooh Pa Bola Bahen Terey My Fidaa
Tujhko Milaaney Khaak My Sajjad Rehgaya
Tharraaye Haath Aur Musibath Bapaa Huvi
Mayyath Uttnaa Tha Kay Qayamath Bapaa Huvi
Mayyath Nikal Rahi Hai Andhera Makaan Hai
Laaye Charaag Kaun Paraaya Makaan Hai
Kurtha Kafan Hai Phool Hai Naa Saayebaan Hai
Ghurbath Ki Mauth Hai Yeh Yateemi Ki Shaan Hai
Mayyath Bahen Ki Bhaai Kay Haathou Pa Aathi Hai
Hai Hai Sakina Qabr Mey Sonay Ko Jaati Hai
Maa Sar Ko Peet Kar Yehi Kehti Hai Baar Baar
Aahistha Leykar Jaae-Yo Betaa Tere Nisaar
Jaakar Na Phir Yeh Aayegi Baba Ki Soghwaar
Jee Bharkay Dekh Lenay Doh Phir Mujhko Ek Baar
Logo Bathaao Kaisey My Kafnaaney Doon Isey
Maa Hoon My Kaise Gaadney Ley Jaaney Doon Isey
Bhaai Kay Haath Zouf Se Jab Thar Tharaathey Hain
Nanhi Si Laash Seenay Sey Liptaaye Jaathey Hain
Zanjeer Ja Ulajjthi Hai Ghabraaye Jaathey Hain
Surath Bahen Ki Dekhtay Hain Rothay Jaatey Hain
Sadhmey Bahut Utthaayi Hai Beti Hussain Ki
Gardhan Bhi Hai Chi-Lee Huvi Is Noor-E Ain Ki
Beyvo Ka Mulk-E Shaam Mey Jisdam Guzar Huva
Zaanu Pa Jhuk Kay Sharm Sey Ooncha Na Sar Huva
Farth-E Hayaa Sey Jism Paseenay Ney Tarr Huva
Har Soo Hujoom Dekh Kay Tukhdey Jigar Huva
Phir Kar Tamaam Koocha-O Baazaar-E Shaam Mey
Shehzaadiyaan Pahoonch Gayee’n Darbaar-E Aam Mey
Taa Deyr Ki Yazzed Sey Abid Ney Gufthagoo
Royaa Kiye Jhukaaye Huvey Sar Ko Sab Adoo
Mehjoob Hokay Taqth Sey Utthaa Siyaah Rooh
Daakhil Huva Mahal Mey Badh Athwaar-O Thundhakhoo
Apney Gharoun Ko Roosiyaa Sab Shaadmaan Gaye
Zindaan Ko Ahlebaith-E Imam-E Zaman Gaye
Baitey Aseer-E Zulm Adherey Mey Nangay Sar
Darr Darr Kay Dekhthi Thi Sakina Idhar Udhar
Thay Kis Qadar Thakay Huvey Sajjad-E Khudsiyar
Girthey Hi Dasth-O Paa Ki Na Muthlaq Rahi Khabar
Jaagay They Raat Bhar Jo Bahut Susth Hogaye
Deewar Par Bukhaar Mey Sar Rakh Kay Sogaye