Bano Kahan Talash Karein Apne Laal Ko

Bano Kahan Talash Karein Apne Laal Ko Salaam Writeup, Lyrics

bano kahan talash karein apne laal ko
jungle may maar daala hai zehra ki aal ko

zainab ke saath roti hai sab milke bibiyan
jab dekhti thi roz wo waqt e zawal ko
bano kahan talash karein…

shabbir dil ko thaam ke ghash khake gir pade
dekha jo khoon may garkh nabi ke jamaal ko
bano kahan talash karein…

shabbir mere paas hai sadke ko bas yahi
jhoole se laake de diya bano ne laal ko
bano kahan talash karein…

shabbir laa rahe hai maidan se dekhiye
apne zayeef kaandhon pa athara saal ko
bano kahan talash karein…

bazaare shaam may wo aseeron ka khafila
abid na bhool paaye kabhi is khayaal ko
bano kahan talash karein…

aisa toh zulm o jaur kisi par hua nahin
barbaad jis tarah kiya zehra ki aal ko
bano kahan talash karein…

laila duvayein karti rahi baad e karbala
ya rab juda na karna kisi maa se laal ko
bano kahan talash karein…

shabbir apne roze pe bulwayenge zaroor
tauqeer tu nikal da dil se malaal ko
bano kahan talash karein…