Azeezo Zainab E Muztar Ka Aaj Matam Hai Marsiya Writeup, Lyrics
Azeezo Zainab-E- Muztar Ka Aaj Maatam Hai
Azeezo Zainab-E- Hyder Ka Aaj Maatam Hai
Ali Ki Laadli Duqtar Ka Aaj Maatam Hai
Ghareeb Shaah Ki Qwhaaher Ka Aaj Maatam Hai
Sukoon Qalb-E- Quda Ke Habeeb Ko Deeje
Bahen Ka Pursa Hussain-E- Ghareeb Ko Deeje
Dobaara Qaid Huwe Jab Syed-E- Sajjad
Aseer Karthe Huwe Shaam Le Chale Jallad
Rawaana Saath Huwi Haae Zainab-E- Naashaad
Nabi Ke Rouza-E- Aqdas Pe Jaake Ki Faryaad
Shaheed Hogaya Bhaai Hussain Aye Na Na
Magar Nahi Hai Laeenoun Ko Chain Aye Nana
Phir Aaj Aabed-E- Bepar Ke Saath Jaathi Hoon
Yazeed-E- Nahes Ko Qouf-E- Qudaa Dilaathi Hoon
Quda Ne Chaha Tho Is Laal Ko Chudhaathi Hoon
Hayaath Baaqi Agar Hai To Waapas Aathi Hoon
Jo Aae Raah-E- Haq Me Mout Aaiye Nana
Hamaari Laash Pe Aansu Bahaaiye Nana
Ye Sun Ke Uth Gayi Jo Faatema Ke Rouze Par
Lipat Ke Qabr Se Kahne Lagi Ye Qastha Jigar
Utho Utho Meri Amma Ke Aal Hae Duqtar
Aseer Hogaya Phir Mera Aabed-E- Muztar
Tamaam Ghar Ko Ujaada Magar Na Chain Aaya
Dobaara Syed-E- Sajjad Par Sitam Dhaaya
Phiiraa Chuke The Sitamgaar Dar Badar Amma
Dikhaaya Naize Pe Bhaai Ka Mujh Ko Sar Amma
Madina Bhejaa Tha Ghar Baar Loot Kar Amma
Phir Aaj Jota Hai Veeraan Saara Ghar Amma
Chale Hain Qaid Me Phir Zainul Aabedeen Hae Hae
Rahegi Chain Se Kya Zainab-E- Hazeen Hae Hae
Sadaa-E- Nouha-E- Zehra Lahed Se Aane Lagi
Kisi Nabi Ne Bhi Aisi Jafaa Nahi Dekhi
Nisaar Maa Teri Maasoomiyath Pe Aye Beti
Tadap Rahi Hoon Mai Meri Dard Ki Maari
Mai Saath Chalti Hoon Aye Jaan-E- Zainab-E- Muztar
Ye Bilbilaana Tera Qurbaan Zainab-E- Muztar
Suna Jawaab Tera Haae Ashkbaar Huwi
Qaraar Aatha Na Tha Aur Beqaraar Huwi
Badan Laraztha Tha Naaqe Pe Jab Sawaar Huwi
Hazaar Abt Se Ruqsath Jigar Figaar Huwi
Pukaari Jaathi Hoon Ruqsat Karo Qudaa Haafiz
Miloongi Raaj Me Kis Jaa Kaho Qudaa Haafiz
Rawaana Hogayi Phir Sooe Shaam Waawaila
Qamoosh Rote The Chowthe Imaam Waawaila
Laeen Rawaana Huwe Taiz Gaam Waawaela
Azeez Karthe The Maatam Tamaam Waawaela
Likha Hai Raah Me Ek Manzil-E- Qareeb Aai
Butool Zaadi Ki Hae Hae Qazaa Qareeeb Aai
Nazar Qoozaadi Ki Naagaah Us Shajar Pe Padi
Ke Usne Dekha Tha Farq-E- Hussain Ibn-E- Ali
Tadap Ke Haae Hussaina Kaha Zamin Pe Giri
Uthi Sambhal Ke To Faryaad Us Shajar Se Ye Ki
Kahaan Hai Bhaai Mera Aye Shajar Bataa Jaldi
Hussain Keliye Roti Hoon Khaak Udaa Too Bhi
Kaleja Aagaya Mu Ko Tadap Raha Tha Jigar
Ziyaarathe Shah-E- Karbobala Padhi Rokar
Namaaz Padhne Lagi Phir Qareeb-E- Zair-E- Shajar
Abhi Uthaaya Na Tha Haae Haae Sajde Se Sar
Sitam Se Balicha Ibn-E- Tameem Ne Maara
Lahoo Musalle Pe Bekas Ka Bah Gaya Saara
Ali Ki Tarha Se Zainab Ka Sar Do Neem Huwa
Zameen Laraz Gayi Arsh-E- Azeem Kaanp Gaya
Suni Zamaane Ne Garyaad-E- Syedush Shohda
Pukaarne Lagi Aakar Mazaar See Zehra
Ghareeb Sognasheen Beqataa Ko Qatl Kiya
Shaqi Ne Duqtar-E- Mushkil Kusha Ko Qatl Kiya
Lahoo Se Ashk Bahaathe Hain Aabed-E- Bepar
Kafan Phupi Ko Pinhaathe Hain Aabed-E- Bepar
Qalaq Se Jaan Gawaanthe Hain Aabed-E- Bepar
Lahed Phupi Ki Banaathe Hain Aabed-E- Bepar
Nageen Hai Arsh Pe Gham Gaatema Ki Beti Ka
Janaaza Uth-Tha Hai Mushkilkusha Ki Beti Ka