Azeezo Haadesa E Nau Falak Dikhata Hai

Azeezo Haadesa E Nau Falak Dikhata Hai Marsiya Writeup, Lyrics

Azeezo Haadesa E Nau Falak Dikhata Hai
Haram Ka Qaafela Paishe Yazeed Jaatha Hai
Gale Bandhe Hain Badan Sab Ka Thar Tharaatha Hai
Na Saans Lete Hain Qaidi Na Bola Jaatha Hai
        Wo Girthe Hain To Sitamgaar Naize Maarthe Hain
        Wo Roke Hyder-E- Karrar Ko Oukaarthe Hain

Kahoon Aseeroun Ka Sab Haal Ye Majaal Hai Kya
Ye Haath Bandhne Ka Mazmoon Hai Dast Bastha Khada
Huwa Hai Bediyoun Se Bas Ke Ghulghula Paida
Butool Quid Me Hyder Ko Derahi Hai Sada
        Buland Karthi Hai Faryaad Ya Ali Zainab
        Chalo Yazeed Ke Darbaar Me Chali Zainab

Nayi Jafaa Hai Ke Baara Gale Me Aik Rasan
Aur Us Rasan Pa Hai Touq-E- Giraan Ka Ranj-O- Mahan
Kahin Suna Hai Ke Do Teeqh Aur Ek Gardan
Aur Aik Paaun Me Bhaari Do Halqaa-E- Aahan
        Jo Paas Aake Laeen Naizoun Se Daraathe Hain
        Quda Ke Waasthe Bacche Unhain Dilaathe Hain

Jafaa-E- Raah Ke Kahne Me Kaanpthi Hai Zabaan
Gharz Ke Daaqela Majlis Huwe Ba Aah-O- Fughaan
Magar Kab Aaye Huzoor Yazeed-E- Be Eimaan
Ke Chowb-E- Baid Thi Aur Shaah Ke Lab-O- Dandaan
        Chadi To Aik Thi Par Zulm Do Numaayaan Tha
        Ba Zair-E- Choub Kabhi Lab The Shah Ke Dandaan The

Ye Zulm Dekh Ke Zainab Ne Karlin Aankhen Band
Pukaara Shimr Ye Darbaar Kya Na Aaya Pasand
Lo Aankhen Kholo Nahi Zulm Howega Dah Chand
Falak Ko Dekh Ke Rone Lagi Wo Gheerath Mand
        Kahaa Yazeed Kya Kya Aasmaan Ko Dekha
        Wo Roke Boli Ke Qaaleq Ki Shaan Ko Dekha

Kaha Yazeed Ne Tab Shumr Se Ba Taish Tamaam
Ye Koun Hai Ke Jo Badh Badh Ke Kar Rahi Hai Kalaam
Wo Boli Pooch Mujh Se Ye Jaane Kya Mera Naam
Mai Rone Waali Hoon Kunbe Ki Zainab-E- Naakaam
        Ali Ki Aai Nidaa Meri Pyaari Duqtar Hai
        Sar-E- Hussain Pukaara Hamaari Qwaahar Hai

Yazeed Jaaeza Phir Qaidiyoun Ka Lene Lagaa
Nazar Padi Use Ek Shaashzaadi Maah Laqaa
Ulat Ke Daala Hai Mu Par Phata Huwa Kurthaa
Aur Uspa Haathoun See Parda Kiya Hai Chehre Ka
        Hai Sin Me Qurd Buzurgoun Ka Par Qareena Hai
        Kaha Ye Ou Hai Bola Umar Sakina Hai

Yazeed Haal-E- Sakina Pa Roya Aur Ye Kahaa
Sakina Tujh Ko Bahot Chaahtha Tha Baap Tera
Woboli Chaahna Kaisa Pidar The Mujh Pa Fidaa
Zabaan Par Tha Sakina Sakina Subh-O- Masaa
        Sulaathe The Mujhe Shabbir Apne Daamaan Me
        Aur Ab To Khaak Pa Soti Hoon Roz Zindaan Me

Yazeed Ne Kaha Jannat Me Mewe Hain Aakar
Sakina Tum Ko Khilaata Tha Kya Tumhara Piidar
Ratab Ratab Kaha Is Be Pidar Ne Totla Kar
Dekha Ke Neel Tamaanchoun Ke Boli Dekh Idhar
        Pidar Ne Tohfe Se Tohfea Ratab Khilaaye Hain
        Aur Unke Baad To Hamne Tamaanche Khaae Hain

Yazeed Bola Ratab Doon To Khaaegi Naadaan
Sakina Bhuki To Thi Hoke Qush Pukaari Ke Haan
Magar Sakina Ki Qaatir Wahaan Ratab The Kahaan
Diya Shaqi Ne Tabaq Me Sar-E- Imaame Zamaan
        Pukaari Hisse Me Mere Ratab Ye Aaya Hai
        Kisi Yateem Ne Logo Ye Mewaa Khaaya Hai

Uthaaya Usne Jo Sarposh Tho Ye Aaya Nazar
Tadap Raha Hai Sar Ek Murde Ka Lahoo Me Tar
Dari Wo Pahle Tho Aur Phir Kaha Ye Roro Kar
Ratab Nahi Hain Ratab Ke Khilaane Waale Ka Sar
        Salaam Karke Tabaq Se Uthaa Liyqaa Sar Ko
        Lahoo Bhara Huwa Kurta Dikhaa Diya Sar Ko