Aye Rozedaaro Aaho Buka Ke Ye Roz Hai

Aye Rozedaaro Aaho Buka Ke Ye Roz Hai Marsiya Writeup, Lyrics

Aye Roze Daaro Aaho Buka Ke Ye Roz Hain
Sadaath Par Nuzool O Bala Ke Ye Roz Hain
Sartaaj-O Aousiya Ki Azaa Ke Ye Roz Hain
Tum Se Wida-E Shere Khuda Ke Ye Roz Hain
        Zaqmi Huwa Imam Tumhara Namaz Me
        Zalim Ne Rozedaar Ko Maara Namaaz Me

Maahe Mubarak-E Ramazan Aur Quda Ka Ghar
Tadhka Wo Noor Ka Wo Shab-E- Qadr Ki Sahar
Pesh-E Quda Wo Sajde Me Shere Quda Ka Sar
Aur Haae Teghe Zulm Ki Zarbath Wo Farq Par
        Fawwaare Khoon Ke Zaqme Jabeen Se Baha Kiye
        Sajde Me Aap Rabbi-Ul- Aala Kaha Kiye

Sar Peeto Momino Sare Hyder Huwa Do Neem
Imaan Ke Burj Ka My-Anwar Huwa Do Neem
Socho To Farq Shaah Ka Kyun Kar Huwa Do Neem
Likha Hae Maghz Taksar-E Ather Huwa Do Neem
        Zehra Ne Baal Khole Nabi Nange Sar Huwe
        Tum Be Imam Aur Hassan Be Pidar Huwe

Likha Hai Jab Do Neem Huwa Farq-E Murtaza
Sidre Se Jibraeel Ke Rone Ka Ghul Utha
Phenki Saroun Se Zainab-O Kulsoom Ne Rida
Chillake Bhaiyoun Ko Pukari Ghazab Huwa
        Sunte Ho Jibraeel Ne Is Waqt Kya Kaha
        Wo Bole Peet Kar Qatal-E Murtaza Kaha

Dowdhe Ye Kahke Jaanib-E Masjid Wo Naik Zaat
Doobi Huwi Lahu Me Mili Kashti-E Najaat
Maathe Pe Khoon Baap Ka Malkar Kahi Ye Baat
Hae Hae Uthaya Qibla-O Kaaba Pa Kisne Haath
        Rulwaya Nana Jaan Ko Darus Salam Me
        Bin Baap Ka Kiya Hame Maahe Siyaam Me

Nagaah Namaziyoun Ka Guroh Aaya Nange Sar
Hyder Ne Mujtaba Se Kaha Aankhen Khol Kar
Padhwao Tum Namaaz Jama-Ath Ki Aye Pisar
Ham Baithe Baithe Padhthe Hain Apne Maqam Par
        Lekin Jabeen Ke Zaqm Pe Roomal Bandh Do
        Mera Sar Hae Shigafta Aye Laal Bandh Do

Baandha Hassan Ne Zaqm-E Sar-E Shah-E Zuljalaal
Bole Ali Ke Aur Kaso Dard Hai Kamaal
Shabbar Ne Jab Kasa To Kiya Phir Wahi Maqaal
Phir Chust Baandh Kar Ye Pukara Ye Qushqisaal
        Ab Dard Kaisa Hae Asad-E Zuljalaal Ka
        Hathown Se Sar Pakad Ke Kaha Ke Wahi Hae Haal

Padhwa Ke Phir Namaaz Jama-Ath Ki Mujtaba
Baba Ke Sar Pa Padhne Lage Aaya-E Shifa
Nagaah Aake Ye Kisi Aurath Ne Di Nidaa
Zehra Ke Pyaro Tum Se Ye Zainab Ne Hai Kaha
        Baba Ko Mere Jald Jo Ghar Me Na Laaoge
        To Sar Barahna Mujh Ko Bhi Masjid Me Paaoge

Bole Ali Hawaas Abhi Se Baja Nahi
Zainab Se Kahdo Koofa Hae Ye Karbala Nahi
Main Be Daya-Ro Bekas-O Be Ashna Nahi
Shiyaa Hain Gird Nargha-E Ahle Jafaa Nahi
        Parde Se Nange Sar Tu Abhi Kyun Nikalti Hai
        Kya Halq Par Hussain Ke Talwar Chalti Hai

Ummul Baneen Ko Paya Jo Sadme Me Mubtela
Baahen Gale Me Daal Ke Abbas Ne Kaha
Aye Amma Sadqa Dene Se Rad Hoti Hae Bala
Bhai Hassan Hussain Hain Zehra Ke Dilruba
        Roshan Karo Jahaan Me Tum Apne Naam Ko
        Sadqa Utaaro Shah-E Najaf Par Ghulam Ko

Ye Sunke Us Hiraas Me Sambhili Wo Beqaraar
Leke Balaaen Boli Chalo Mere Gul- Ezar
Baba Pa Tum Nisaar Ho Tum Par Ye Maa Nisaar
Chillai Badh Ke Majma-E Matam Me Aik Baar
        Saidaniyo Randape Ke Gham Se Panaah Do
        Sadqa Utaarne Ko Mai Aai Hoon Raah Do

Bole Ali To Hosh Me Aye Nowha Gar Nahin
Abbas Ke Wiqaar Ki Tujh Ko Qabar Nahin
Ye Fatima Ka Beta Hai Tera Pisar Nahi
Shabbir Keliye Koi Aisi Sipar Nahi
        Zehra Se Rutba Poochiye Is Noor-E Ain Ka
        Ye Karbala Me Hoega Fidya Hussain Ka