Aye Momino Yasrab Me Ajab Nowha Gari Hai Marsiya Writeup, Lyrics
Aye Momino Yasrab Me Ajab Nauha Gari Hai
Zehra Ke Liye Daghe Ghame Be Pidari Hai
Lab Khushk Hai Muh Zard Hai Aankhon Me Tari Hai
Paighambare Konain Chiraghe Sahari Hai
Hote Hain Juda Khaire Bashar Khairunnisa Se
Mahboobe Khuda Choot-Tey Hain Sher-E-Khuda Se
Jiska Kalma Padhthe Hain Sab Momine Deendaar
Ab Aazime Firdous Hai Wo Qhaasaye Ghaffar
Makke Me Madine Me Tabahi Ke Hain Aasaar
Ab Hote Hain Ummat Se Juda Ahmed-E-Muqtar
Faaqe Kiye Ghamgeen Rahe Dunya Ke Safar Me
Aaqhar Safar-E-Marg Kiya Maah-E-Safar Me
Ek Kaafera Ne Gosht Me Tha Zaher Khilaya
Us Zaher Ne Aaqer Ye Asar Apna Dikhaya
Moula Ko Sare Bistare Aazaar Giraya
Hisse Me Hassan Ke Wahi Zaher-E Sitam Aaya
Kamzor Kiya Taph Ne Rasoole Arabi Ko
Taaqath Na Rahi Baithne Uthne Ki Nabi Ko
Hai Aaqri Uss Waqt Mera Waaz-O-Nasihat
Ab Mimbar-O-Mehraab Se Hota Hoon Mai Ruqsat
Aana Tha Minallah Ilallah Hai Rahlath
Ab Hogi Mulaqat Meri Roz-E-Qayamat
Tum Gham Me Mere Nala-O-Faryaad Karoge
In-Saal Mujhe Hajj Me Bahot Yaad Karoge
Do Cheezen Main Cho-De Huwe Jaata Hoon Magar Haan
Wo Ek To Meri Aal Hai Aur Aik Hai Quraan
Quraan Ki Hafiz Meri Itrath Hai Nigahbaan
Ye Dono Buzurgi Wo Fazilath Me Hai Yaksaan
Quraan To Tum Sab Ki Tilawat Kay Liye Hai
Aur Aal-Payambar Ki Hidayat Ke Liye Hai
Gar Baad Mere Pahonchega Zehra Ko Kuch Aazaar
Marqad Se Meri Pusht Nahi Lagne Ki Zinhaar
Ye Chaar Buzurg Aale Payambar Hain Qabardar
Zehra-O- Hussain-O Hassan-O Hyder-E- Karrar
Wajib Mere As-Haab Pa Insab Ki Wila Hai
Yaro Yahi Tableeghe Risalat Ka Sila Hai
Faaregh Jo Huwa Waaz Se Wo Aashiq-E-Daawar
Phir Ghar Me Gaye Aur Gire Farshe Ajal Par
Us Roz Se Tashreef Na Phir Le Gaye Baahar
Bas Qabr Me Jaane Ko Uthe Va Se Payambar
Hairan-O Parishan-O Dil Afsurda Thi Zehra
Baba Abhi Jeetha Tha Magar Murda Thi Zehra
Par Ahmed-E Muqtar The Jab Hosh Me Aate
Zehra Ko Basad Yaas Kaleje Se Lagate
Geh Pyar Se Ye Dono Nawasoun Ko Sunate
Main Accha Hoon Tum Kisliye Khana Nahi Khate
Wo Kahte The Kya Qhaak Tamannae Ghiza Ho
Allah Kare Jald Kaheen Tum Ko Shifa Ho
Shah Kahte The Sehat Ho Na Ho Khana To Khalo
Nana Ke Nawasou Dile Muztar Ko Sambhalo
Chillati Thi Zehra Ke Na Ye Zikr Nikalo
Baba Mere Farzandoun Ko Dulha To Banalo
Arman Tha Tum Ko To Nawasoun Ki Dulhan Ka
Kya Byaah Na Dekhoge Hussain Aur Hassan Ka
Ek Aah Ki, Rone Lage Aur Ghash Huwe Moula
Darwaze Se Nagaah Sada Ye Huyi Paida
Do Izn Huzoor Ay-Harame Syede Wala
Jakar Kaha Zehra Ne Key, Behosh Hai’n Baba
Phir Aai Nida Phir Wahi Farmagayi Zehra
Par Teesri Awaaz Me Tharragayi Zehra
Fursath Jo Huwi Ghash Se To Hazrath Ne Bhi Pucha
Zehra Ne Kaha Aik Arab Aya Hai Tanha
Wo Maangtha Hai Izn Huzoor Ae Mere Baba
Kitna Hi Kiya Uzr Nahi Usko Pazira
Hazrat Ne Kaha Ye Malakul Mout Hai Zehra
Hangam Meri Zeest Ka Ab Fouth Hai Zehra
Ye Izn Kisi Se Bhi Nahi Mangta Wallah
Par Haan Mere Darwaze Ke Rutbe Se Hai Aagah
Allah Re Azz-O-Sharafe Syede Zijaah
Be Hukm Na Ghar Me Malkul Mout Ko Thi Raah
Par Karbobala Me Yahi Ghar Tha Yahi Dar Tha
Kuffaar Ka Amboh Tha Aatish Ka Guzar Tha