Aye Momino Judaai Hai Dulha Dulhan Me Aaj

Aye Momino Judaai Hai Dulha Dulhan Me Aaj Marsiya Writeup, Lyrics

Aye Momino Judaai Hai Dulha Dulhan Me Aaj
Qillath Kafan Hae Palkar-E- Ibn-E- Hassan Me Aa
Hai Shour Alwedaa Ka Har Ek Mard-O- Zan Me Aaj
Hai Beqaraar Roph Hassan Ki Kafan Me Aaj
        Shaadi Ki Jaa Pa Noubat-E- Faryaad Aah Hai
        Dulha Ki Taqt Gaah Bas Ab Aqatl Gaah Hai

Rote The Dhaadenmaar Ke Namoos-E- Shaah-E- Deen
Aaya Dulhan Se Milne Ko Shabbar Ka Naazneen
Roti Thi Sar Ko Zaanu Pa Rakhe Wo Mah Jabeen
Sadme Se Hilgaya Jigar-E- Qaasim-E- Hazeen
        Dil Tha Kare Soo-E- Ruq-E- Kubra Nigaah Ki
        Ye Dard Utha Ke Baith Ke Masnad Pa Aah Ki

Rakh Kar Dulhan Ke Maathe Pa Haath Apna Yun Kaha
Sar Ko Uthaae Roti Hai Kyun Tum Pa Mai Fida
Saaheb Tumhaare Baap Ne To Ham Ko Di Riza
Saaheb Tumhaare Baap Ne To Ham Ko Di Riza
Do Tum Bhi Izn Jung Ke Narghe Me Hai Chacha
        Aathe Hain Teer-E- Zulm Shah-E- Qushqisaal Par
        Wallah Jaae Raham Hae Ammu Ke Haal Par

Ibn-E- Hassan Ne Bathoun Me Ghola Bahot Magar
Qufl-E- Dahan Haya Thi Na Boli Wo Nouhagar
Dulha Ne Jab Ke Rakh Diya Jhuk Kar Qadam Pa Sar
Pahlu Me Dil Tadap Gaya Phatne Laga Jigar
        Ghunghat Me Aaftaab Sa Mu Zard Hogaya
        Kaanpi Ye Sharm Se Ke Badan Sard Hogaya

Aakhir Bahake Ashk Ye Boli Wo Rashk-E- Maah
Lut-Te Hain Bachpane Me Kahaen Kya Zabaan Se Aah
Choda Jab Aap Ne To Hamara Kahan Nibaah
Qismath Me Tha Ke Qaid=E-Sitam Me Phiren Tabaah
        Basthi Lutae Ke Qabr Ko Aabaad Kijiye
        Jo Aap Ki Qushi Hamen Barbaad Kijiye

Saheb Tumhi Qafaa Nahi Loundi Se Is Qadar
Bezaar Mout Bhi Hai Ke Ab Tak Na Li Qabar
Kya Bas Hamara Qair Sidharo Karo Safar
Nikle Gain Ham Bhi Ghar Se Koi Dam Me Nange Sar
        Chaale Hamare Sab Se Juda Hain Zamane Me
        Tum Honge Qatl Gaah Me Ham Qaidqaane Me

Baba Qarib-E- Marg Chacha Aazim-E- Safar
Bhaai Gala Katane Pa Baandhe Huwe Kamar
Jaldi Tumhi Ke Qoon Me Pahle Hon Ham Bhi Tar
Dhoondoon Bataao Kis Ka Sahara Mai Nouhagar
        Do Kuch Jawaab Paaun Pa Kyun Sar Jhukate Hain
        Ek Raath Ki Dulhan Ko Kise Sounp Jaathe Hain

Roke Hae Kisne Rote Ho Kaahe Ko Isqadar
Maalik Quda Hai, Bewoun Ki Lega Wohi Qabar
Hojaaegi Hamari Bhi Har Haal Me Basar
Samhjhenge Umr Bhar Isi Jangal Ko Apna Ghar
        Bhaai Ki Aas Hai Hamen Ab To Na Baap Ki
        Kaatenge Dukh Randaape Ka Turbath Pa Aap Ki

Poochega Gar Koi Ke Hai Kis Shaqs Ka Mazaar
Too Koun Hai Jo Roti Hai Yun Aye Jigar Figaar
Us Se Bhi Ye Kahoongi Mai Baa Chashm Ashkbaar
Shahzaada Aik Tha Ye Falak Qadr Zeewiqaar
        Noushaah Banke Baaghe Jahaan Se Guzar Gaya
        Sehra Bhi Sar Se Khulne Na Paya Ke Margaya

Sahab Hamen Kalaam Ki Taaqat Nahi Hai Ab
Ye To Kaho Ke Tum Se Mulaqaat Hogi Kab
Dulhe Ne Bhar Ke Aankhoun Me Aansu Kaha Ye Tab
Kousar Pa Roz-E-Hashr Miloonga Mai Tishna Lab
        Daadi Ke Saath Jab Su-E- Firdous Jaaogi
        Jis Jaa Hussain Honge Wahin Hamko Paaogi

Rokar Pukari Maa Ke Mai Qurbaan Jaaun Aao
Nargha Hai Shamiyoun Ka Chacha Ki Madad Ko Aao
Beta Bas Ab Dulhan Ki Mohabbat Se Haath Uthaao
Lena Hai Baaghe Quld To Phal Barchiyoun Ke Khaao
        Sadqe Gayi Azeez Na Apna Lahu Karo
        Jaldi Gala Katake Mujhe Surq- Roo Karo

Tapka Ke Ashk Aankhoun Se Bola Wo Noujawaan
Lo Ammajaan Qaaleq-E- Akbar Nigaah Baan
Jab Din Se Aae Laasha-E- Majrooh-O- Qoonchagaan
Is Tahalke Me Rakhiyega Apni Bahu Ka Dhyaan
        Roye To Aansu Ponch Ke Samjhaaiyo Inhain
        Amma Hamari Laash Na Dikhlaaiyo Inhain