Aye Hyderiyo Rahlat E Hyder Ki Ye Shab Hai Marsiya Writeup, Lyrics
Aye Hyderiyo Rahlat E Hyder Ki Ye Shab Hai
Be Warisa-E Aale Payambar Ki Ye Shab Hai
Aye Matamiyo Rowo Ke Mahshar Ki Ye Shab Hai
Lo Waqeya-E- Faatha-E- Qaibar Ki Ye Shab Hai
Kul Mominoun Ke Sar Se Yadullah Utthega
Taaboot-E- Janabe Asadullah Utthega
Lo Momino Tum Hogaye Be Waris-O- Waali
Lo Dostou Hai Tum Se Widaa-E- Shah-E- Aali
Kal Subha Wo Chilaenge Hyder Ke Mawali
Aaj Ahmed-E- Muqtaar Ki Masnad Huwi Qaali
Tukde Kiye Zehra Ne Girebaan-E Kafan Ke
Koi Na Raha Sar Pa Hussain Aur Hassan Ke
Masjid Me Sitamgaar Ne Kaabe Ko Giraya
Be Qadr Shab-E- Qadr Ka Kuch Dhyaan Na Laya
Mehraab Me Qandeel-E Imamath Ko Bujhaya
Saidaaniyoun Ko Eid Ke Nazdik Rulaya
Darda Shahe Loulaak Ke Da-Maad Ko Maara
Faryaad Ke Jibreel Ke Ustad Ko Maara
Ab Waaqeya-E- Shere Quda Karta Hoon Tahreer
Qaatil Ko Pakad Laye Ju-Hi Shabbar-O- Shabbir
Mashkey Thi Ba’ndhi Kanpta Tha Qouf Se Bey Peer
Laanath Ki Tarha Tegh Thi Qaatil Key Gulogeer
Rahem Aagaya Zalim Ke Laraz N Pe Ali Ko
Farmaya Mere Aage Se Sarkao Shaqi Ko
Jab Le Chale Qatil Ko To Bole Shah-E- Abraar
Ye Dushmani-E Shere Quda, Aye Sag-E Makkar
Is Maahe Mubarak Me Kiya Zulm Jafaakaar
Kya Teri Imamath Ka Ali Tha Na Sazawaar
Ki Sharm Na Mahboob-E- Quda Se Na Quda Se
Le Dekh Ye Rote Hain Payambar Ke Nawase
Tha Saath Laeen Masjide Koofa Se Sarasar
Ghar Le Chale Sibtain-E- Nabi Shah Ko Utha Kar
The Gird Tou Is Laash Ke Sab Shiyya-E Hyder
Farzand-E- Yateem Aage The Sar Nange Barabar
Zainab Pe Yatimi Ki Musibath Jo Padi Thi
Chillati Thi Sar Peet Ti Thi Dar Pa Khadi Thi
Abbas Se Hyder Ne Kaha Chupke Se Jaao
Haan Fatima Ki Beti Ko Dewdhi Se Hataao
Samjhao Ke Bas Arshe Quda Ko Na Hilaao
Rahgiroun Ko Awaaz Na Rone Ki Sunaao
Ek Waqt Ye Tha Aik Wo Aafath Ki Ghadi Thi
Ran Me Yahi Zainab Thi Ke Sar Nange Khadi Thi
Ye Kahte Hi Be-Chain Huwe Hyder-E- Karrar
Shabbir Ki Ghurbat Pa Jigar Hogaya Afkaar
Ek Simt Se Itne Me Suna Nouha Kayee Baar
Letey The Pa Utt Baitey, Ye Karte Huwe Guftaar
Kis Dard Rasidah Ki Ye Faryaad-O- Bukaa Hai
Ye To Mere Abbas Ke Rone Ki Sada Hai
Rokar Kaha Moula Ne Abas Isko Hai Wiswaas
Kyon Kyon Mera Abbas Nahi Aata Mere Paas
Ye Sunke Phire Sar Ko Jhukaae Huwe Abbas
Aur Baandh Ke Hathoun Ko Ye Ki Arz Basad Yaas
Wo Dard Hai Mujhko Ke Efaqa Nahi Baba
In Sob Ka Hai Aaqa Mera Aaqa Nahi Baba
Farmaya Ali Ne Ke Naro Aye Mere Dildaar
Kyun Rote Ho Jeetha Hai Abhi Hyder-E- Karrar
Be Waaris-O Waali Tumhe Chowdunga Na Zinhaar
Lo Doulat-E- Konain Tumhen Deta Hai Ghaffar
Allah Salamath Rakkhe Moula Ko Tumhare
Roothou Na Bulaata Hoon Main Aaqa Ko Tumhare
Phir Roke Kaha Raazi-E Taqdeer Ko Laao
Mazloom Ko Laao Shah-E- Dilgeer Ko Laao
Shamme Laha-De Saahibey Tatheer Ko Laao
Shabbir Ko Laao, Mere Shabbir Ko Laao
Laao Use Aafath Ka Falak Jispey Girega
Sar Jiska Isi Koofe Me Neze Pa Phirega
Ye Kahte Hi Shabbir Se Ghash Kargaye Hyder
Aur Jaanib-E- Allah-O Payambar Gaye Hyder
Didaar Ke Pyase Labe Kousar Gaye Hyder
Hyder Ke Pisar Rone Lage Margaye Hyder
Ghul Padh Gaya Shaa-Hinshah-E- Zeejaah Sidhare
Jannat Ko Jahan Se Asadullah Sidhare