Aye Charq Terey Zulm Ki Kuch Inteha Nahin

Aye Charq Terey Zulm Ki Kuch Inteha Nahin Marsiya Writeup, Lyrics

Aye Charq Terey Zulm Ki Kuch Inteha Nahin
Ye Sach Hai Ki Kisi Sey Bhi Tuney Wafa Nahin
Lekin Bataadey Kya Tujhey Khauff-E Khuda Nahin
Ya Fatima Sey Bhi Tujhey Sharm-O Hayaa Nahin
        Zehra Ki Qabr Najdiyon Ney Haif Dhaadiya
        Sach Toh Yeh Hai Kaaba-E Eemaan Gira Diya

Kaabey Ko Dhaya Marqad-E Zehra Jo Dhaadiya
Kaaba Nahin Tha Arsh-E Khuda Thaa Gira Diya
Yeh Zulm Woh Hai Jiski Nahin Koyi Inteha
Parwardigaar Azmat-E Zehra Ka Waasta
        Naazil Balaa Ho Unpey Koyi Aasmaan Sey
        Jaldi Mita Dey Najdiyon Ko Tu Jahaan Sey

Jaan-E Rasool Khaasa-E Daawar Woh Fatima
Shohar Hai Jiska Saaqiye- Kausar Woh Fatima
Shabbir-O Mujtaba Ki Jo Maadar Woh Fatima
Pehlu Pey Jiskay Haaye Giraa Dar Woh Fatima
        Talwar Aur Pehlu-E Zehra Hazaar Haif
        Pushtey Mubarak Aapki Durrey Hazaar Haif

Thi Paanch Saal Ki Kay Khatija Ney Ki Qazaa
Maadar Ka Saaya Sar Sey Uttha Waa Mohammada
Atthaarween Baras Mey Pidar Sey Huvi Juda
Jheyli Museebatein Woh Nahin Jiski Inteha
        Zinda Rahi Toh Baap Ko Rona Nahin Mila
        Baad-E Rasool Chain Sey Sona Nahin Mila

Bait-Ul Huzan Ko Jaati Thi Zehra Paey Buka
Afsos Us Jagaah Ko Bhi Ummat Ney Dhaa Diya
Saaye Mein Baitthna Bhi Gawaara Nahin Huva
Yeh Qadr Fatima Ki Huvi Waah Mohammada
        Kaisey Karoon Bayaan Joh Zulm-O Sitam Huvey
        Baher Shumaar Sey Hain Woh Ranjo Alam Huvey

Kyun Mominou Kaleja Tumhara Na Muh Ko Aaye
Darwaza Fatima Kay Shikam Par Giraaya Haaye
Sadmey Sey Jiskay Hazrat-E Mohsin Wafaat Paaye
Yeh Syeda Ney Baap Ki Ummat Sey Dukh Utthaaye
        Aalam Mey Is Tarah Sey Kisi Par Jafa Na Ho
        Mazlooma Fatima Si Koi Ya Khuda Na Ho

Suntey Ho Momineen Toh Karta Hoon My Bayaan
Barbaadiye Quboor Aaimaa Ki Daastaan
Qabr-E Hasan Pey Baandhi Hai Aada Ney Bakriyan
Oonton Ko Lekay Jaatey Hain Har Waqt Saarban
        Ki Sharm Kuch Khuda Sey Na Uskay Rasool Sey
        Allah Samjhey Jald Yeh Qaum-E Jahool Sey

Ranj-O Alam Ki Dil Pey Girey Kyun Na Bijliyan
Masjid Ali Ki Gosh Ki Dukaan Al-Amaan
Qabr-E Khatija Pey Toh Barasti Hai Goliyan
Is Waastey Kay Fatima Zehra Ki Thi Yeh Maa
        Ummat Ney Khoob Qadr-E Risaalat Maab Ki
        Qabrein Bhi Ahlebait Ki Hai Hai Kharaab Ki

Ji Chahta Hai Kaat Kay Marjayein Khud Galaa
Moulood Nabi Ka Hogaya Afsos Mazbala
Kis Muh Sey Yeh Kahoon Kay Huvey Zulm Aur Kya
Qabr-E Batool-E Paak Ko Kachrey Sey Bhar Diya
        Kachrey Mey Roz Aag Lagatey Hain Haif Hai
        Bint-E Nabi Ki Qabr Jalaatey Hain Haif Hai

Yaaro Bathaao Zulm Ki Kuch Inteha Bhi Hai
Ummat Ko Aah Paas-E Rasool-E Khuda Bhi Hai
Baddkar Koi Jahan Mey Is Sey Jafaa Bhi Hai
Qabron Mey Haif Aag Lagaana Rawaa Bhi Hai
        Haq Ki Qasam Na Rahem Sey Ya Shah Kaam Lo
        Ya Mustafa Lahad Sey Uttho Inteqaam Lo

Hum Dekhein Qabr-E Fatima Mitjaaye Haif Haye
Zehra Ki Qabr Aag Sey Jaljaye Haif Haye
Shiyon Ko Sunkay Baat Yeh Chain Aaye Haif Haye
Momin Galaa Na Kaat Kay Marjaaye Haif Haye
        Dholey Yeh Haat Jeeney Sey Inka Yeh Kaam Hai
        Saadat Ko Toh Dehar Mey Rehna Haraam Hai