Ay Raat Na Dhalna Ke Ujar Jayegi Zainab

Ay Raat Na Dhalna Ke Ujar Jayegi Zainab Salaam Writeup, Lyrics

ay raat na dhalna ke ujar jayegi zainab
bhai se dam e subh bichar jayegi zainab
ay raat na dhalna ke ujar jayegi zainab

sone de sakina ko ke phir so na sakegi
rona bhi jo chahegi to phir ro na sakegi
asghar se mulakaat to phir ho na sakegi
ay raat na dhalna….

ghabraye huye laal hai sehmi hui mayein
jee bhar ke mai de lon ali akbar ko duayein
lena hai abhi aun o mohamad ki balayein
ay raat na dhalna….

ae raat bikhar ja tere bas may ho jahan tak
mit jayenge kal aal e payamber ke nishan tak
baaqi hai yeh manzar ali akbar ki azan tak
ay raat na dhalna….

har chund ke bachon ki abhi pyas hai baaqi
kuch aankh may hasrat hai to kuch aas hai baaqi
lekin mera bhai mera abbas hai baaqi
ay raat na dhalna….

baaqi hai abhi aal e muhamad ka safeena
beti ke sulane ko hai shabbir ka seena
jhoola ali asghar ka jhulaati hai sakina
ay raat na dhalna….

kal kaun sunega ye meri aah o buka bhi
hoga tahe khanjar mere bhai ka gala bhi
khema to kuja sar pe na hogi ye rida bhi
ay raat na dhalna….

ae raat ghadi bhar ko tu rehne de sakoon may
ghir jayenge nasir mere aada ki safon may
yeh chand se chehre to naha jayenge khoon may
ay raat na dhalna….