Ay Jaan Sakina Nadan Sakina

Ay Jaan Sakina Nadan Sakina Salaam Writeup, Lyrics

ay jaan sakina nadan sakina
ay sham ke zindan ki mehman sakina

dekho to utho qaid may hai kiska ye matam
bano tere is neend ke qurban sakina
ay jaan sakina….

uth-ti nazar aati nahi ye neendh hai kaisi
ye khwab to karta hai pareshan sakina
ay jaan sakina….

is kokh jali maa to tamanna ye na thi kya
poora na hua ek bhi armaan sakina
ay jaan sakina….

kyon haath ye kano pe rakhe hue baithi
dukhte hai abhi tak kaho kya kaan sakina
ay jaan sakina….

ye des naya log naye hum bhi naye hai
kis tarha se ho dafn ka saaman sakina
ay jaan sakina….

do gaz ka kafn bhi tujhe de sakti nahi maa
zindan may bhi aayi hai pareshan sakina
ay jaan sakina….

asghar ko karo pyar lo akbar ki balayein
jab khuld may tum jao meri jaan sakina
ay jaan sakina….

wo roz ki seeri wo tera roz ka rona
bas aaj se zindan hai sunsan sakina
ay jaan sakina….

ye din bhi khuda jald hi bano ke liye laaye
kholega dar e qaid ko darbaan sakina
ay jaan sakina….