Ay Chand Karbala Ke, Tu Ne To Dekhe Hongay

Ay Chand Karbala Ke, Tu Ne To Dekhe Hongay Salaam Writeup, Lyrics

ay chand karbala ke, tu ne to dekhe hongay
utray thay is zameen par, arshay bari ke taare

ay chand jalwagar hai hashim ka chand yan par
khairaat roshni ki lelijiyo yahan se
ay chand karbala ke….

ay chand is zameen par rakhiyo hamesha thandaq
sotay jo hai yahan par zehra ke hai ye pyare
ay chand karbala ke….

tasleem-o-salsabeelo kausar ke hai ye maalik
maare gaye jo pyase is nehr ke kanare
ay chand karbala ke….

hur aur habeeb jaise jaanbaaz aur ahibba
maare gaye yaheen par ansaar shahe deen ke
ay chand karbala ke….

maare gaye yaheen par be-dardiyo sitam se
zainab ke dono pyare muslim ke dono bete
ay chand karbala ke….

pamaal ho rahi thi qasim ki laash ran may
abbas aur sarwar chunte thay unke tukday
ay chand karbala ke….

baazu katay yaheen par abbas-e-bawafa ke
izne wagha na paaya pani bhi laa na paaye
ay chand karbala ke….

is sar zameen pa guzra sarwar pa ye bhi sadma
seene pa khaayi barchi hamshakle mustufa ne
ay chand karbala ke….

pani pilaane laaye ek mehlaka ko sarwar
ki ghazab hurmula ne teere sitam lagaake
ay chand karbala ke….

gardan chidi pisar ki baazu chida padar ka
dono tadap tadap kar pyase jahan se guzre
ay chand karbala ke….

is ban may ek bachi baba ko dhoondti thi
bikhre huwe paday thay jab sar bureeda laashey
ay chand karbala ke….

phir yeh bhi tu ne dekha woh gham raseeda bachi
seene pa so rahi thi besar padar se lipte
ay chand karbala ke….

baazu bandhay yaheen per pehle pahal haram ke
is sar zameen se niklay sajjad sar jhukaye
ay chand karbala ke….

shehzadaye jina hi maalik hai karbala ka
kiski majaal aaye jab tak na wo bulaaye
ay chand karbala ke….

pahuncha hai karbala may nacheez sibte jafar
ay kaash ke muqaddar humko ye din dikhaye
ay chand karbala ke….