Ahl E Haram Pe Aaj Qayamat Ki Raat Hai

Ahl E Haram Pe Aaj Qayamat Ki Raat Hai Marsiya Writeup, Lyrics

Ahl E Haram Pe Aaj Qayamat Ki Raat Hai
Jungle Darouna Hay Yeh Wehshat Ki Raat Hai
Hai Hai Yateem Rotay Hain Ghurbath Ki Raat Hai
Sar Par Nahin Hussain Yeh Furqath Ki Raat Hai
        Khaime Jaley Padein Hain Shahey Mashraqain Kay
        Mitti Pey Aaj Sothey Hain Bachchey Hussain Kay

Woh Raat Andheri Aur Woh Maidaan-E Karbala
Laashey Padey Hain Rethi Pey Jinkay Hain Sar Judaa
Ghurbath Yeh Keh Rahi Hai Kay In Par Huvi Jafaa
Chaadar Udaaey Kaun Haram Sab Hain Beyridaa
        Sar Dekay Raah-E Haq Mey Yunji Naam Kartey Hain
        Din Bhar Kay Hain Thakey Huvey Aaraam Kartey Hain

Shaam-E Ghareeban Karti Hai Zainab Ajab Fugaan
Naalon Sey Hil Rahey Hain Zameen Aur Asmaan
Hai Hai Hussain Kehkay Jo Roti Hai Neemjaan
Run Mey Wahaan Tadapti Hai Laash-E Shahey Zamaan
        Aawaaz Aqa Rahi Hai Bahen My Teray Nisaar
        Aey Ghamgusaar Mere Yateemou Sey Hoshiyaar

Zainab Ka Sabr Dekh Kay Hotha Hai Dil Figaar
Bachon Ko Bibiyon Ko Jamaa Kar Kay Sogwaar
Taskeen Dilaasa Deyti Hai Bhaai Ki Ghamgusaar
Lekin Sakina Puchti Hai Rokay Baar Baar
        Baba Kab Aayeingay Phupi Baba Kab Aayeingay
        Seenay Pey Apney Woh Mujhey Phir Kab Sulaaengay

Zainab Ney Pyaar Kar Kay Yateem-E Hussain Ko
Goudh Mey Apni Ley Liya Is Noor-E Ain Ko
Bibi Zaraa Toh Kijiyo Kam Shor-O Shain Ko
Kal Subha Dekh Lo Gi Shahey Mashraqain Ko
        Behlaayi Yoon Phupi Kay Woh Khamoosh Hogayi
        Gurbat Sey Maa Kay Zaanu Pey Sar Rakh Kay Sogayi

Guzri Hai Aadhi Raat Falak Bhi Hai Nauhagar
Girtey Hain Taarey Toot Kay Maanind-E Ashk-E Tarr
Aur Chupkay Chupkay Roti Hai Ek Bibi Nangey Sar
Hai Chob-E Khaimaa Haath Mey Baandhi Huvi Kamar
        Kaati Hai Raat Ankhon Mey Zehra Ki Gul-E Zaar
        Masroof Hai Talaaya Mey Bhaai Ki Sogwaar

Awaaz Aayi Ghodoun Kay Taapoun Ki Naagahaan
Dekha Sawaar Aata Hai Is Simth Bey Takaan
Baddkar Pukaari Kaun Hai Kya Kaam Hai Yahaan
Waaris Humaarey Qatl Huvey Lutt Gaya Makaan
        Allah Hai Gawaah Nahin Paas Maal-O Zar
        Chaadar Hamari Chinn Gayi Aur Hum Hai Nangey Sar

Lekin Badaaey Aata Tha Ghodey Ko Woh Sawaar
Zainab Kay Paas Rok Liya Aakay Raahwaar
Ultti Naqaab Chehrey Sey Utraa Woh Shehsawaar
Beti Kay Saamney Thay Khadey Sher-E Kirdagaar
        Hai Khaak Sar Pa Thaamey Kalejey Ko Aaye Hain
        Pursa Bahen Ko Bhaai Ka Deney Ko Aaye Hain

Pehlaa Kay Haath Baap Sey Zainab Lipat Gayi
Ro Ro Kehti Thi Meri Qismat Ulatt Gayi
Baaqi Jo Panjetan Ki Nishaani Thi Mitt Gayi
Baba My Apney Bhaai Sey Jungle Mey Chutt Gayi
        Amma Ka Ghar Bharaa Huva Barbaad Hogaya
        Sehra Jo Karbala Ka Tha Aabaad Hogaya

Ro Kar Kahaa Ali Ney Ho Qurbaan Yeh Pidar
Soyi-Yoh Thodi Der Kay Hoti Hai Ab Saher
Dar Peish Subhaa Ko Hai Tumhein Shaam Ka Safar
Darbaar Mey Yazeed Kay Jaana Hai Nangey Sar
        Mushkilkusha Hoon Zulm Yeh Dekhey Na Jaayengay
        Beti Rasan Sey Haath Terey Baandhey Jaayengay

Aayi Sadaa-E Fatima Faryaad Ya Ali
Kheti Hamaari Hogayi Barbaad Ya Ali
Mushkilkusha-E Khalq Ho Rudaad Ya Ali
Bachchon Pey Meray Hogayi Beydaad Ya Ali
        Kheti Meri Ujadd Gayi Ghar Mera Lutt Gaya
        Zainab Hai Bey Ridaa Sar-E Shabbir Katt Gaya