Ahl E Haram Ka Monis O Ghamkhaar Margaya

Ahl E Haram Ka Monis O Ghamkhaar Margaya Marsiya Writeup, Lyrics

Ahl-E- Haram Ka Monis-O-Ghamkhaar Margaya
Wo Zor-E- Baazu-E Shah-E- Abraar Margaya
Hae Hae Nashaan-E- Hyder-E- Karrar Margaya
Lashkar Huwa Tamaam Alamdar Margaya
        Sarf-E- Buka Haram Me Shah-E- Mashraqain Ke
        Rote Hain Kooze Phaink Ke Bacche Hussain Ke

Maara Gaya Taraai Pa Hyder Ka Laadla
Shaanoun Se Haae Dast-E- Mubaarak Huwe Juda
Palwast Aik Aankh Me Teer-E- Jafaa Huwa
Sar Gurz Aahni Se Hai Shaq Waa Musibata
        Aisi Kisi Shaheed Pa Guzri Jafaa Nahi
        Gurthe Hain Zeen Se Haathoun Ka Bhi Aasra Nahi

Kya Rohane Ho Aye Pisar-E- Shah-E- Mashraqain
Kya Guzri Khalb-E- Zaar Pa Hyder Ke Noor-E- Ain
Kuch Tho Kaho Zabaan Se Dilko Nnahi Hai Chain
Aaya Hai Dekho Laash Pa Bhaai Teraa Hussain
        Is Bekasi Me Jaathe Ho Mu Apna Mod Ke
        Ghurbath Me Kispe Jaathe Ho Bhaai Ko Chodh Ke

Phir Roke Bole Shaah Ke Qadmoun Pa Rakh Ke Sar
Hai Arz Ye Ghulaam Ki Ya Syedul Bashar
Sharminda Hai Sakina Se Abbas-E- Naamwar
Laasha Hamara Leke Na Jaaen Qiyaam Par
        Qaadim Ko Rahne Dijiye Aaqa Lab-E- Furaath
        Maskan Rahe Ghulaam Ka Mouila Lab-E- Furaath

Ye Kahte The Hussain Se Abbas-E- Naik Naam
Hichki Ek Aai Ghash Ne Diya Mout Ka Payaam
Aankhen Jhuka Ke Shah Ko Kiya Aaqri Salaam
Haathoun Se Dil Ko Thaam Liya Sarwar-E- Anaam
        Ghurbath Me Shah-E- Deen Ko Be Aas Kar Gaye
        Tanha Hussain Hogaye Abbas Margaye

Sar Uth Ke Peet-The The Shainshaah-E- Do Jahaan
Shah Ko Sambhaalthe The Ali Akbar-E Jawaan
Kahthe The Roke Bete Se Ye Sarwar-E- Zamaan
Abbaas Ham Ko Chod Gaye Aye Pidar Ki Jaan
        Kis Se Kahe Jo Guzra Hai Sadma Hussain Par
        Dard-O- Alam Ka Aasmaan Toota Hussain Par

Aye Ibn-E- Fatema Ke Fidaai Uttho Uttho
Kaisi Tumhen Ye Neend Hai Aai Uttho Uttho
Kyun Tum Ne Ki Pasand Taraai Uttho Uttho
Bhaai Uttho Uttho Mere Bhaai Uttho Uttho
        Labbaik Kahke Aathe Nahi Ibn-E- Buturaab
        Aawaaz Par Hussain Ki Dete Nahi Jawaab

Bhaai Bataao Qaime Jaakar Mai Kya Kahoon
Be-Chaen Hogi Aal-E- Payambar Mai Kya Kahoon
Nanhi Sakina Se Aye Baradar Mai Kya Kahoon
Pooche Mujhe Jo Zainab-E- Muztar Mai Kya Kahoon
        Kaise Kahoon Taraai Pa Shabbir Lut Gaya
        Abbas Ka Hussain Se Saath Aaj Chut Gaya

Ye Kahke Naher Se Chale Rote Huwe Imaam
Akbar Ne Mashk Aur Alam Ko Liya Tha Thaam
Pahonche Dar-E- Qiyaam Pa Jis Dam Shah-E- Anaam
Bhaai Se Lipti Doudh Ke Zainab Falak Maqaam
        Kahthi Thi Kyun Alam Hai Ye Khoon Me Bhara Huwa
        Batlaao Bhaai Jaan Mera Abbas Kya Huwa

Zainab Se Tab Ye Kahne Lage Shah-E- Karbala
Hae Hae Ali Ke Sher Ke Baazu Huwe Judaa
Teer-E- Sitam Se Mashk Chidi Paani Bahgaya
Maara Gaya Furaath Pa Saqqa Sakina Ka
        Zainab Wo Mera Quwwathe Baazu Guzar Gaya
        Abbas Qati Kya Huwe Shabbir Margaya

Sun Sun Ke Sab Hussain Ki Guftaar Sakina
Lipti Pidar Se Aake Dilafgaar Sakina
Kahthe The Shaah Ammu Ki Ghamqwhaar Sakina
Maare Gaye Darya Pa Alamdar Sakina
        Kaisee Bataaun Unpa Mai Kya Kya Sitam Huwe
        Darya Pa Tere Ammu Ke Shaane Qalam Huwe

Momin Bapaa Hae Maatam-E- Abbas-E- Qushqisaal
Zere Alam Hain Jama Haram Khole Sar Ke Baal
Sar Peet-The Hain Aal-E- Payambar Basad Malaal
Kahthe The Shaah Ab Mera Jeena Huwa Mohaal
        Shaane Kataake Sogaya Saqqa Taraai Me
        Rassi Bandhegi Bint-E- Ali Ki Kalhaai Me