Aamad Hai Ahle Bait E Payambar Ki Shaam Me Marsiya Writeup, Lyrics
Aamad Hai Ahle Bait E Payambar Ki Shaam Me
Gaysu Khule Huwe Hain Azaa-E Imaam Me
Sar Peet-Thi Hai Faatema Daarus Salaam Me
Zainab Ye Nouha Karthi Hai Balwaa-E- Aam Me
Logo Qabar Karo Mere Nana Rasool Ko
Balwe Me Shimr Laaya Hai Binte Batool Ko
Nana Teri Nawasi Ke Sar Par Rida Nahi
Aur Ahle Shaam Dekhthe Hain Kuch Hayaa Nahi
Aabed Gharib Martha Hai Taph Se Dawaa Nahi
Behoush Nanhe Bachche Hain Aab-O Ghiza Nahi
Dil Sab Ke Kaampte Hain Badan Thar Tharaathe Hain
Ab Saamne Yazeed Ke Saadaath Jaathe Hain
Hain Ek Rasan Me Baarah Gale Waa Musibatha
Rote Hain Godhiyoun Ke Pale Waa Musibatha
Bas Me Sitamgaroun Ke Chale Waa Musibatha
Khaake Azaa Hain Mu Pa Maley Waa Musibatha
Mushkil Qadam Uthaana Tha Us Izdihaam Me
Yun Ithrathe Nabi Gayi Balwaa-E Aam Me
Zainab Tadapke Oontt Pa Karthi Thi Ye Bayaan
Darbaar Me Talab Huwe Saadaat Naagahaan
Oontoun Se Utri’n Bibiyaan Kah Kah Ke Al- Amaan
Payshey Yazeed Le Gaya Zaalim Kashaan Kashaan
Saamaan-E- Jashn-E Aam Tha Darbaar-E- Aam Tha
Aur Nange Sar Hussain Ka Kunba Tamaam Tha
Muthrib Taraana Sanjj Thay Raqqaas Shaadmaan
Padthey They Tehniyath Kay Qasiday Qasidakhawn
Haazir Vakeel-E Rome-O Khoothan Baashikoh-O Shaan
Haathoun Pa Nazr Fathaa Liye Khurd Aur Kalaan
Chillaathi Thi Batool Yeh Zulm-E Shadeed Hai
Ya Rab Terey Hussain Kay Marney Ki Eid Hai
Naagaah Badh-Ke Shumr-E- Laeen Ne Kiya Salaam
Bola Ke Aye Ameer Ye Shaadi Ka Hai Maqaam
Ummeedwaar-E- Qillath-O- Jaageer Hai Ghulaam
Haazir Hain Sar Shaheedoun Ke Aur Ithrath-E- Anaam
Badh Kar Pukaara Murrah Ke Apna Jigar Hai Ye
Le Ham Shabeeh-E- Qaas Payambar Ka Sar Hai Ye
Wallah Iske Ranj-O- Alam Me Basad Bukaa
Farzand-E- Buturaab Bahattar Jaga Giraa
Ye Zikr Tha Ke Hashr Ka Saaman Hogayaa
Gharaagaya Yazeed Ke Ye Kya Ghazab Huwa
Dekha To Hurmula Bhi Bahut Shaad Aathaa Hai
Sar Aik Chote Bacche Ka Haathoun Pa Laatha Hai
Hai Khoon-E Halq Halq Kay Oopar Jamaa Huwa
Nanhaa Sa Muh Hai Pyaas Kay Maaray Khulaa Huva
Baachou Mey Doodh Dono Taraf Hai Bharaa Huva
Suraaq-E Teer-E Zulm Galay Mey Padaa Huva
Is Khoon Par Yazeed Ney Jisdam Nigaaha Ki
Us Sey Bhi Zabth Ho Na Sakaa Rokay Aaha Ki
Bola Bathao Isney Bhala Ki Thi Kya Qataa
Toone Ise Nashaana Kiya Teer-E- Zulm Ka
Bachche Pa Bhi Na Khaaya Taras Toone Beyhayaa
Ye Nanha Sa Gala Wo Tera Naawak-E- Jafaa
Batla Tu Kis Falak Ka Ye Mehr-E Muneer Hai
Baanu Pukaari Badhke Ye Meraa Sagheer Hai
Hairaan Khade The Sab Haram-E- Shaah-E- Mashraqain
Mohr-E- Sukoot Lab Pa Na Shikwa Na Shour-O- Shain
Zainab Ne Dekha Taqt Pa Naagaah Sar-E- Hussain
Be Saaqtha Tadap Ke Ya Karne Lagi Woh Bayn
Hai Hai Na Mauth Aai Mujhe Raah-E- Shaam Me
Bhayya Mera Salaam Lo Darbaar-E- Aam Me