Aah Huvey Kaaba-E Qurbaaniy-E Daawar Hai Hussain

Aah Huvey Kaaba-E Qurbaaniy-E Daawar Hai Hussain Marsiya Writeup, Lyrics

Aah Huvey Kaaba-E Qurbaaniy-E Daawar Hai Hussain
Fidya-E Ummath-E Marhoom-E Payambar Hai Hussain
Bekas-O Bewatan-O Beydil-O Bepar Hai Hussain
Sabr-E Ayyub Ki Shamsheer Ka Jouhar Hai Hussain
        Go Ke Talwaar Phiri Halq Pa Sattar Baari
        Shukr-E Baari Kiya Pyaase Ne Magar Har Baari

Ittefaaq-E Ulamaa Isme Hai Aye Ahle Azaa
Paanch Sharten Hain Zabeeha Key Liye Peish-E Qudaa
Shart-E Awwal Hai Ke Haiwaan Naho Bhukaa Pyaasa
Ehthiyaatan Badam-E Zibha Bhi Do Aab-O Ghiza
        Sharth-E Saani Hai Ke Ho Jumma To Taaqeer Karo
        Jumma Ko Waqt-E Namaaz Isko Na Takbeer Karo

Teesri Sharth Hai Haiwaan Na Ho Peish-E Haiwaan
Thaadam-E Zibha Na Hasrath Se Ho Baaham Nigraan
Sharth-E Chaharum Hai Ke Jaldi Na Karo Taa Imkaan
Ho Churi Tez Magar Haath Ho Narmi Se Rawaan
        Sharth-E Panjum Hai Churi Bhi Na Dikhaao Usko
        Zubha Se Pahle Qazaa Se Na Daraao Usko

Zibha-E Haiwan Ki Ye Sharten Hain Magar Waawaila
Ashraf-E Qalq Jo Tha Sibt-E Nabi Noor-E Quda
Aah Huvey Shere Quda Fidya-E Raabe Dosara
Khaana Kaisa Ke Na Paani Usey Qatil Ne Diya
        Halq Tar Kathe Hain Qassaab Bhi Qurbaani Ka
        Qatra Ummath Ne Na Syed Ko Diya Paani Ka

Zibhey Haiwaan Ka Nahin Hukm Hai Haiwaan Kay Huzoor
Yaan Na Shabbir They Kuch Door Na Zainab Thi Door
Aal-E Ahmad Dar-E Khaimey Pa Khadi Thi Majboor
Lout-Thi Thi Kahin Kubra Kahin Abid Ranjoor
        Shah Unko Woh Suey Shaahey Umam Dekhtay They
        Zibhaa Hothey They Hussain Ahley Haram Dekhtay They

Manaa Dikhlaana Churee Ka Hai Paey Qurbaani
Yaan Tha Chey Laakh Kay Narghay Mey Ali Ka Jaani
Teigh-O Khanjar Liye They Girdh-E Sitam Kay Baani
Aab-E Aahan Kay Siwaa Tha Na Mayassar Paani
        Al-Atash Ki Thi Sadaa Halq-E Shahey Zeeshaan Sey
        Pyaas Kay Maarey Zabaan Chaabthay They Dandaan Sey

Eid-E Zilhijj Ko Hai Qurbaani-E Haiwaan Illah
Ho Jo Ek Saal Sey Kam Zibha Nahin Iska Ravaa
Tumko Akbar Ki Jawaani Ki Qasam Ahle Azaa
Qatl Asghar Ko Jo Ummath Ney Kiya Kya Sin Thaa
        Shab-E Haftum Sey Qalaq Doodh Na Peenay Ka Thaa
        Teesra Faaqa Tha Aur Sin Chey Mahiney Ka Thaa

Na Abhi Kangee Kay Qaabil They Jhandolay Woh Baal
Aah Qurbaani-E Asghar Huvi Kis Tarhaa Halaal
Doodh Ka Hountoun Pa Aatha Tha Ishaara Na Sawaal
Juzz Khuda Kuch Bhi Na Pehchaantha Tha Banu Ka Laal
        Maa Ka Dil Iskay Ishaarey Ko Samajh Leyta Tha
        Doodh Ki Hothi Thi Khwaahish Toh Woh Rotha Tha

Ek Bhi Daanth Na Niklaa Tha Ali Asghar Ka
Ek Baalish Ka Kurtha Tha Ali Asghar Ka
Chotaa Qadh Nanhaa Sa Jhoola Tha Ali Asghar Ka
Doodh Peena Bhi Na Choota Tha Ali Asghar Ka
        Moouh Sey Maa Baap Ka Bhi Naam Na Ek Baar Liya
        Bey Zabaan Bachchey Ko Bhi Hurmulaa Ney Maar Liya

Ek Jaan Laakh Qareedaar Ayaazan Billah
Pyaase Par Teeroun Ki Bouchaar Ayaazan Billah
Na Koi Yaar Na Ghamqhwaar Ayaazan Billah
Har Taraf Zaalim-O Kuffar Ayaazan Billah
        Apne Rutbe Ka Kisi Ko Na Shanasaa Dekha
        Dekha Pyaase Ne Jise Khoon Ka Pyaasa Dekha

Teen Baari Huwe Jab Pyaas Se Behoush Imaan
Aaqirul Amr Kiya Pyaas Me Rokar Ya Kalaam
Ayyuhannaas Mere Qatl Pa Baandho(Khaincho) Na Husaam
Pyaas Se Teen Shab-O Roz Ke Hai Kaam Tamaam
        Ab Koi Pyaasoun Me Baaqi Nahi Mai Tanha Hoon
        Chaaho Paani Do Mujhe Chaaho Nado Pyaasa Hoon

Abhi Ye Kahna Chuka Tha Pisar-E Shaah-E Najaf
Sou Hazaar Ahl-E Jafaa Toot Pade Tegh Bakaf
Sab Kamaan Daroun Ke Teer Aur Dil-E Shabbir Hadaf
Gird Jallad The Aur Beech Me Zehra Ka Qhalaf
        Hoke Behosh Gire Jab Shah-E Deen Ghode Se
        Saath Hi Koodh Pada Shimr-E Laeen Ghode Se

Aaya Ghusse Me Qareen-Shaah Ke Wo Bad Aqtar
Tegh Ek Haath Me Ek Haath Me Khainche Qanjar
Be Adab Ne Jo Ye Chaaha Ke Chadhe Seene Par
Shaah Chupke Se Ye Bole Ke Tahr Shimr Tahr
        Sunley Dunya Me Mere Baad Tujhe Rahna Hai
        Tujhse Kuch Apne Yatimoun Ke Liye Kahna Hai

Kah To Doon Aage Amal Uspaa Tu Kar Ya Ke Nakar
Shimr Bola Ke Bhala Qair Kaho Aye Sarwar
Kaha Sheh Ne Meri Gardan Pa Chale Jab Qanjar
Qibla Roo Laash Litaadena Udhaa Kar Chaadar
        Aur Itna Too Meri Rooh Pa Ahsaan Karna
        Dekh Saidaaniyoun Ke Sar Ko Na Uryaan Karna

Qatl Waaris Huwe Ab Unko Sataane Se Kya
Jiska Waali Na Ho Us Ghar Ke Jalaane Se Kya
Aap Hi Rote Hain Beyvoun Ke Rulaane Se Kya
Nange Sar Parda Nashinoun Ko Phiraane Se Kya
        Ya Too Rouze Pa Nabi Ke Unhay Pahucha Denaa
        Ya Inhey Warisoun Ki Laashoun Pa Bithlaa Denaa

Beti Ek Chaar Baras Ki Hai Sakina Meri Aah
Dekh Too Usko Tamaache Na Lagaana Gumraah
Wo Jo Roye Na Gurakhna Na Daraana Lillah
Mai Ne Naazoun Se Use Paala Hai Qaaleq Hai Gawaah
        Kal Talak Thi Mere Seene Pa Wo Sone Waali
        Ab Wo Hai Saaheb-E Maatam Meri Hone Waali

Shimr Bola Ke Sakina Ko Bahut Chahthe Ho
Sheh Ne Farmaaya Ke Haan Sab Me Hai Pyaari Mujhko
Sang Dil Bola Ke Bas Qair Tum Ab Kuch Na Kaho
Mai Nahi Sunta Sakina Ki Sifaarish Na Karo
        Main Tamaache Use Maaronga Gurakh Bhi Doonga
        Jitni Deejaaegi Eizaa Mai Usi Ko Doonga